Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Tzaad

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Tzaad

    Tzaad

    YaadoN kay bawaNdar say uth rahaiN hai Takh_yul ki sar zamiN pay
    Barq bau kay chamkta hai teri afsurda haNsee ka chehra
    Honay lagi hai teray naaz-o-karam ki rimjhim
    Meri takhleeq maiN main woh pehli barsaat si soundhi khusbu aa rahi hai

    Tanha bahut tanha hai dil teray jaanay kay baad
    SaMbhla nahi wajood shorishoN maiN bhi doob jaanay kay baad
    Zamanaa to samjhtaa hai isay shauq-i-fitoor mera
    Har chahray maiN agar dhooNdta hooN teray wajood ki parchaiNaN
    Aur uqta kay uth aataa hooN phir apnay khyaaloN ki duniya maiN
    Siyaah aur siyaah ho jaati haiN phir meri tanhaaiyaaN

    Ab tu bani hai kisi ga_ir ki zindagi ka unwaaN
    Ab teri raataiN uski baahoN main basi rehti haiN
    Ab na us ulfat ki haqeeqat baqi
    Phir bhi nadaan umeedaiN dil maiN baniN rehtiN haiN

    Puchta hooN maiN aksar apni talkh raatoN say
    Ki kya hai aqaayud-i-mehabbat ki asaas
    Kya hai yeh rasoomaaat maiN lipta ik shuq-i-bekaar
    Kya hai yeh ishq kay naam pay paltay huay pazmurda ahsaas

    Kya hai yeh mehabbat yeh mehabbat ki tashheeer
    Kadam bar kadam samjotoN ki besood taameer
    Kya hai yeh jis-o-rooh kay alag alag meyaar
    Kya hai parstish pay palta yeh falsafa-i-taqdeer

    Thehar ab zauq-i-talab thehar
    Aaj na yeh baat baat uthaa
    Aaj ki raat barstaa hai gujishta mehabbat ka jaadoo
    Aaa ki raat kuch na keh kuch na sunaa
    ----------------




    ----- Brijinder "sagar"

  • #2
    Re: Tzaad

    ZABARDAST !!!!!!!!!really wonderfull i wonder kay yeah aap ki likhi hui hey kamal ilfaz hain...... i really appriciate Mashallah Brijinder bhut khoobsurat hey aisay lagta hey Saher ludhanvi shayri parr rahey ho i like it....... keep it up

    Comment


    • #3
      Re: Tzaad

      ZABARDAST !!!!!!!!!really wonderfull i wonder kay yeah aap ki likhi hui hey kamal ilfaz hain...... i really appriciate Mashallah Brijinder bhut khoobsurat hey aisay lagta hey Saher ludhanvi ki shayri parr rahey ho i like it....... keep it up

      Comment


      • #4
        Re: Tzaad

        Thanx qa lot for the beautiful words of appreciation.I was begining to think that readers on thsi forum are no longer interested to read my poems n so have almost stopped visiting it.
        Yes! the poem is ofcourse mine.I have greatly been influenced by the progressive poets,especailly sahir.They gave me the power to question our own conditionings n beliefs.
        Thanx once again.
        brijinder"Sagar'

        Comment


        • #5
          Re: Tzaad

          Great...
          YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

          Comment


          • #6
            Re: Tzaad

            Thanx a lot

            Comment


            • #7
              Re: Tzaad

              Very Nice.....
              very beautiful

              Comment

              Working...
              X