Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Meri manzil

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Meri manzil

    Meri Manzil


    Meray khwaaboN ki taabeer abhi mumkin na thi duniya main
    Isliayay unhaiN lafzoN main utaaraa hai mainay
    Meray ahsaasoN ki pehchaan haiN yeh alfaaz meray


    Ik tarjuma hai khyaaloN ka
    GuNgay afqaar ki zubaan hai shaairi
    Zin dagi say meri pehchaan hai shaairi

    DuNd ka ajab des hai yeh khyaaloN ka jahaaN
    Aur nasheela hai iski har raah ka dhooaN

    Na aks dikhta hai Na naqsh ubhrataa hai
    Pakar main aataa hai phir bikhrataa hai
    Ghabraa jaataa hai aadami uktaa jaataa hai aadami
    Aur phir say laut kar bevajah si zindagi jeetaa hai
    Magar raas aayaa nahi mujhko us past duniyaa ka chalan
    Zindagi hai aham phan jiska rahbar hai ilum

    Alfaaz main bhatkan meri hai nau-mainee ki talaash
    Us dhuNd ki duniay main jahaaN khwaabeeda haiN ahsaas

    Phir lafz pairhan bantaa hai bedaar pehchaan bun kar
    Aur nazay say hosh main zindagi badal jaati hai
    Aura b
    Jab jab koi lehraayaayga hosh ka parcham
    Jab jab bhi koi baydaarioN ka dum bharygaa
    Shaairi meri unhaiN raahoN main pahchaan bun kar milaygi

    -----------------------------------
    Last edited by Brijinder; 7 September 2006, 05:25. Reason: small fonts

  • #2
    Re: Meri manzil

    Very Nice.....
    very beautiful

    Comment

    Working...
    X