Assalam-0-Alaikum SathioN
Buhat arsay ba'ad aap ki mehfil mein aik nazm lay ker haazir huwa hooN.... aap ki ara'a ka intizar rahay ga...
khaamoshi..!!
zubanaiN gung bhi ho jayeN..
to nazraiN chup nahin rehteeN..
ke jazboN ko ma'aani ke pehnaway...
dainay walay sab ke sab
alfaaz kahiN kho bhi jayeN to
gham-e-dil ki sisakti aah..bapa tufaan rakhti hai
zubanaiN gung bhi ho jayeN
to kanoN main bhatakti si
meri bay jan khaahish ki sanam woh aakhri hichki
bohat halkaan rakhti hai...
mujhe pehroN rulati haiN..teri pur soz nigahaiN
tera khamosh sa maatam
mere jeenay ki tamanna.....
mere marnay ka woh aalam...
kahaN alfaaz ki mohtaaj hoti haiN, kaho aahaiN ??
ke tum ne bhi saha hoga koi chup chaap sa lamha..
koi khaamosh sa woh pal, ke sadiyoN pe jo bhaari ho...
kabhi woh talkhi-e-doraaN ke zehar say bhi kaari ho...
musaafir..sun !!
safar khaamosh bhi reh lay to bolaiN gi katthin rahaiN...
zubanaiN gung bhi ho jayeN to nazraiN chup nahin rehteeN...!
utha rakhti hai hangamay..
mere humdam..mere humdam..!!
khaamoshi..chup nahin rehti...!!![/center]
Comment