Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

*@*Gardish-e-shaam-o-sahar*@*

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • *@*Gardish-e-shaam-o-sahar*@*

    Aadaab Dosto

    Aaj kuch likh kar laaya hu fir se par poora pata nahi k ishse gazal keh sakta hu ya nahi...kosish ki hai ek aur likhne ki ab acha bura aap sabhi k haaath mein hai

    Shukriyah....

    Ek sher gazal suru karne se pehle

    "Vaisa hi pal aaj bhi hai
    Viasa hi aaj shamaa hai
    Ek tu nahi hai pass mere
    Baki sab kuch waha k waha hai"


    ***************************


    Teri yaadein reh reh kar roolati hai shaam-o-sahar mujhe
    chhedkar meri mohabbat ko aur kar jati hai Be-qaraar mujhe


    Andhera hi andhera hai meri zindgi mein tere jaane k baad
    nazar nahee ate hain ab to door tak Chiraag-e-sahar mujhe


    Tum thi to Gulasitaan thi meri duniya ab har aur veerana hai
    dekho kya kya dikhati hai Gardish-e-shaam-o-sahar mujhe


    Ish duniya mein samjhega kaun Mafhoom-e-gham-e-ishq ko
    tumne bhi ae mere yaar kiya hai apne dil se Dar badar mujhe


    Chhod de ab nadaan aas uske lot aane ki ae Aarzoo-e-Diggaj
    Samjhta tha jise apna muqdarr wohi kar gaya Be-qadr mujhe


    Teri yaadein reh reh kar roolati hai shaam-o-sahar mujhe
    chhedkar meri mohabbat ko aur kar jati hai Be-qaraar mujhe
Working...
X