Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Azhar Sabri's Shayari

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Azhar Sabri's Shayari

    Chehre par taak ronak ajab maloom hoti hai
    Tohfe me mila sabkuchh shama maloom hoti hai

    Tarana gungunae rooh ko chho le us pal ko
    Fazal ka fash ho jaise pari maloom hoti hai




    Ehsaan faramosh nahi asra ka khazina bhi nahi
    Ehsaas hai mujhko ehsaan me jeena bhi nahi




    Kasoor bhi nahi or aisi riyasat nahi meri
    Tahjeeb tar karun aisi siyasat nahi meri

    Faqat har pahlu ko tahjeeb ki nazro me utara
    Jo bhi hoon aaj main yahan ye virasat nahi meri

    Apne ho ya begane ho hain to isi mulk ke
    Karun qaum se baghawat ye sarafat nahi meri

    Hue the ek zamane me charche kai qaum ke
    Woh thi siyasat chal per aqidat nahi meri




    Dikha de rasta manzil ka wo ashabab mil jaye to kya
    Chalein us raah me nazafat ka ek khawab mil jaye to kya

    Fasana yun hua azhar Khila ek khawab bagho me
    Khushboo bhari mazmaan me ek ghulab mil jaye to kya




    Azal se aashna ka aaghaz kiya usne
    Zehan me ek khawab aabad kiya usne

    Maine to taamir talaf bhi na kiya
    Ek din taamir sukhan shaad kiya usne




    Parwaaz kar gayi raatein per baat kyun nahi jaati
    Kat gayi har raat per ye raat kyun nahi jaati

    Saaye ki tarah lipta hai is hayate safar me
    Per waqt to zayad nahi aukaat kyun nahi jaati

    Kar gaye chiraghon ko bhi fiza ki hawale
    Bujhane ke waste koi aukaat kyun nahi aati

    Bah gaye har khawan ankho se ashk ke sath
    Is khawab ko dhone koi shailaab kyun nahi aati

    Mousam hain ghani wadiyo sa ye suhana shaam
    Is alam bhari shahar me barshat kyun nahi aati

    Udi hai khaak basti me shahar me kyun hai sannata
    Shahar se chalkar aati thi per ab wo kyun nahi aati

    Use jab bhi dekhta hun dil ke darinchon se
    Ankh lagti to hai magar chain ki neend kyun nahi aati




    Gunahgaar hun uska jispe harkat ubaal rakha hai
    Ukoobat ke bawajood bhi sabka khayaal rakha hai

    Har pahlu ko nazar-andaaz usne kiya faham ke saath
    Wo hai meri biwi jo ghar ko sambhaal rakha hai

    Fitna nahi hai ab bhi bagh-e-chaman me koi
    Jo tha mere tabiyat me sab kuchh nikaal rakha hai

    Aadil hai bekasoor hai nazish nahi hai wo
    Har shai me uska faisla uske aamaal rakha hai

    Noor-e-tabassum ka sabab kuchh yun hua Azhar
    Fakat usi ke waste khud ko khangaal rakha hai
    Last edited by azharsabri; 13 September 2014, 09:19. Reason: Poetry collestion

  • #2
    Re: Azhar Sabri's Shayari

    welcome to pegham :rose
    acha likhtay hian :thmbup:
    naye shoura main move kar rahi hon yeh thread :rose
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

    Comment

    Working...
    X