Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ghazal: kia kia nahi milta

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Ghazal: kia kia nahi milta

    assalamoalaikum,
    aik ghazal lay ker hazir huwa hooN....ummeed kerta hooN aapko pasand aaye geeee
    aapka
    sAbeEh

    is shehr kay bazaar meN kia kia nahiN milta
    phir bhee mujhay koi tiray jaisa nahiN milta

    jo kuch dil e nakam ne chaha nahiN milta
    manzil nahiN miltee kabhi rastan nahiN milta

    lehja nahi milta kabhee chehra nahiN milta
    dunia meN hamaiN aik bhi tum sa nahiN milta

    chHoRa hay jo ghar aik tu dooja nahi milta
    ab dil sa tiray koi Thikana nahiN milta

    lashoN ke is anbar meN dhoonda, nahiN milta
    booRhay ko buRhapay ka sahara nahiN milta

    us qaum ki taqdeer ka Allah hee hafiz
    haqdar ko jis jaga haq apna nahi milta

    badal tu barastay heN jahaN bhar meN barabar
    sehra ko magar aik bhee qatra nahi miltaa

    kia zulm hay is shehr kay logoN pe ay humdum
    ronay keliay dost ka kundha nahi milta

    ghar choR kay apna koi pardes gaya thaa
    kehta hay ke pardes meN saya nahi milta

    koi khushee miltee hay tu miltee hay adhooree
    gham jab kabhi milta hay akaila nahiN miltaa
    Attached Files
    Last edited by sabeeh; 24 March 2006, 02:20.
Working...
X