Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

tarahi ghazal;

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • tarahi ghazal;

    aik ghazal kay saath hazir huwa hooN............ehbab kee araa ka muntazir rahoonga:::: khul ke qainchee chalayeay.............jo bura lagay nishandahee kijiay..................
    aapka dost
    sabeehuddin shoaiby


    ye dil jo aaj bohat beqarar apna hay
    naseeb aaj bhee phir intizaar apna hay

    jo yaar khush hay tu phir burg o baar apna hay
    wagarna ghur wohi burq o sharar apna hay

    wafa guzeedoN meN jab se shumaar apna hay
    her aik shakhs yahaN ghum gusaar apna hay

    janab e mush ka ye kehna hay bush ke dauray per
    wafa karay na karay phir bhee yaar apna hay

    ye teray ishq ka faizan hay meray humdum
    gali gali meN jo ye ishtahar apna hay

    badan meN zehr jo utra wo ghair ka kab hay
    jo aasteeN meN chupa hay wo maar apna hay

    kisee ko yaad kareN kia, kisay bhulayeN hum
    ke apne dil pe kahaN ikhtiyar apna hay

    badal ke roop jhalakta hay apnay she’roN meN
    gham e hayat, gham e rozgar apna hay

    watan ka baal bhee baNka na ker sakay koee
    ke is ke gird ye sangeeN hisaar apna hay

    sabeeh khud meN bohat mohtaram heN hum ab bhee
    waqar ab bhee kahiN burqarar apna hay
    Last edited by sabeeh; 18 March 2006, 01:29.
Working...
X