Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

ghazal: raat kay is pahar

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ghazal: raat kay is pahar

    assalamoalaikum,
    aik khwab ke saath hazir hooN.........ik mulaqat kee rudaad...aap dosotoN ki aaraa ka muntazir rahoongaaa.
    Sabeehuddin shoaiby

    meN ne dekha hay kaisa ye sapna naya raat kay is pahar
    mujh se bichRa huwa koi apna mila raat kay is pahar

    neend kyuN uR gayee chain kyuN khogaya raat kay is pahar
    ye achanak meray saath kia hogaya raat kay is pahar

    phir achanak ye mausam suhana huwa raat kay is pahar
    phir tumhari gali say chali hay hawa raat kay is pahar

    dil meN jagee ye kaisee tamanna nayee, khud meN hairaN hooN
    ik nayee aarzoo ne mujhay chooliya raat kay is pahar

    aik manzil basee thee nigahoN meN janay wo kia hogayee
    aur mujh ko mila aik rasta naya raat kay is pahar

    meN tu apni kahani sunata raha raat kay is pahar
    wo nigaheN jhukaye hee baitha raha raat ke is pahar

    us ke mathay pe ik lat thee jis say huwa meN parishaN bohat
    lakh chaha magar meN hata na saka raat kay is pahar

    aur kia kijiay ga sabeeh us ki ab aap manzar kashee
    waqt aya, aur aaker chala bhee gaya raat kay is pahar
    Attached Files

  • #2
    Re: ghazal: raat kay is pahar

    :welcome: to Pegham

    buhut achi kavish hai, umeed hai aainda bhi aap ka kalam parhney ko miley ga :)
    sigpic

    Comment


    • #3
      Re: ghazal: raat kay is pahar

      Originally posted by miss magnet
      :welcome: to Pegham

      buhut achi kavish hai, umeed hai aainda bhi aap ka kalam parhney ko miley ga :)
      InshaAllah zuroor...............pasandeedgee ka shkriyaa

      Comment

      Working...
      X