Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Jao tumhein moaf kiya

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Jao tumhein moaf kiya

    Originally posted by Withoutsoul

    HMMMMMMMMMM.... ZABARDAST..................

    HMMMM......... shukriya :p ,
    sigpic

    Comment


    • #17
      Re: Jao tumhein moaf kiya

      Originally posted by Sweet & Sour
      tum humesha oulta hi samajhtey ho :tauba
      zaheri baat hay seehda banda ulta hee samjy ga

      Comment


      • #18
        Re: Jao tumhein moaf kiya

        bht khoob saima :)
        Bhulana Sakoo Gay Mujhe Bhool Kar Tum
        Mein Aksar Tumhein Yaad Ata Rahonga
        Kabhi Khuwab Ban Kar Kabhi Yaad Ban Kar
        Mein Neendein Tumhari Churata Rahonga

        Comment


        • #19
          Re: Jao tumhein moaf kiya

          Originally posted by zeeshan
          bht khoob saima :)
          Thnx Zeeshan :)
          sigpic

          Comment


          • #20
            aik pegham

            ....
            Last edited by Mujahid Khan; 16 January 2009, 14:15.

            Comment


            • #21
              Re: mashwara

              Originally posted by sensible
              assalamualekum saaima mey ney aap ki nazm
              'aankhon mey aansoo chupathi rahoon'
              iss nazm key jawab mey main ne aik nazm likhi hai mind nahi kariyiega,arz hai

              aankhon mey aansoo chupathi raho
              kuch na kaho muskurathi raho

              gar mey bathaoon bura maan jao
              ke rona nahi ab rulathi raho

              ghazlen tum ghamgin likhna nahi
              baharon key geet gungunati raho

              yadon ko sochon mey lana nahi
              aur dujon ki sochon mey aati raho

              apni qeemat gawa ke roti ho tum
              ab sey qeemat tum apni bardhti raho

              tum ne dekhey hai chand
              aur taron ki mehfil
              chamktey huwey piarey
              piaron ki mehfil
              wo ik do nahi hain
              hazaron ki mehfil
              kabhi wo nahi koi
              faryad kartey hain
              bus hum hi unhain
              yaad kartey hain
              wo raaton ko jagen
              din ko wo sotey hain
              hotey hain ye
              chand,taron ki mehfil
              chamaktey huwey piarey
              piaron ki mehfil
              tu chand aur taron ki mehfil mey aa
              chand ki chandni mey itrathi raho

              aankhon mey aansoo chupati raho
              kuch na kaho muskurati raho

              *****************mujahid khan*************

              I'm speechless ........ :)

              This is so sweet aur yaqin kijiyeh buhut acha likha hai aap ne .......... buhut buhut shukriya

              Magar yeh shair jo aap ne likha.......

              yadon ko sochon mey lana nahi
              aur dujon ki sochon mey aati raho


              dosron ki soch mei aana mumkin hai magar yadon ko khudh se nikal dena mimkin nahi ........
              sigpic

              Comment


              • #22
                Re: mashwara

                Originally posted by sensible
                assalamualekum saaima mey ney aap ki nazm
                'aankhon mey aansoo chupathi rahoon'
                iss nazm key jawab mey main ne aik nazm likhi hai mind nahi kariyiega,arz hai


                Mei ne bilkul mind nahi kiya, aur jahan tak baat is nazm ka hai yeh merilikhi huwi nahi balkey ek ganey ke chand bol hain jo mujhe pasand aayeh to meine compose ker liyeh :)
                sigpic

                Comment


                • #23
                  Re: Jao tumhein moaf kiya

                  nice

                  Comment


                  • #24
                    Re: Jao tumhein moaf kiya

                    kesey kehh detey ho keh jao tumhey maaf kia
                    halankey ishq ke kuch qaidey aur kitab hotey hain

                    mehboob key nakhrey aur raqeeb ki shararaten
                    bohoth hi ziada sakht aur purazab hotey hain
                    kesey kehh detey ho keh jao tumhey maaf kia
                    halankey ishq.............................................. .................

                    kesey aajatey hain mehboob raqeeb ki baathon mey
                    ussey maalum keh raqeeb khaana kharab hotey hain
                    kesey............................................. ...................................
                    halankey ishq.............................................. ............................

                    tohfey tahaif aksar udhaar bhi kharidney hotey hain
                    aur mehboob ye samjeh keh aashiq saarey nawab hothey hain
                    kesy keh............................................... .............................
                    halankey.......................................... .......................................

                    aashiq ki saari umer tho bus khayalon mey guzarthi hai
                    ik deed hothi hai aur mahinon phir khwab hothey hain
                    kesy keh detey ho................................................ ............
                    halankey.......................................... .................................

                    ishq key rozgaar mey aashiq hamesha maqruz hotha hai
                    uss ki tankhwa sey mehboob bohoth shaadab hothey hain
                    kesey keh detey ho ke jao tumhey maaf kia
                    halankey ishq ke kuch qaaidey aur kitaab hothey hain
                    Last edited by Mujahid Khan; 23 June 2006, 04:35.

                    Comment


                    • #25
                      Re: Jao tumhein moaf kiya

                      this is amazing .......... sab se achey ashar yeh lagey mujhe .......... kuch batein yaad aa gayi .... aisa laga kuch saal wapis chali gayi mei .......... aap buhut acha likhtey ho....... keep it up :thmbup:

                      kesey aajatey hain mehboob raqeeb ki baathon mey
                      ussey maalum keh raqeeb khaana kharab hotey hain

                      tohfey tahaif aksar udhaar bhi kharidney hotey hain
                      aur mehboob ye samjeh keh aashiq saarey nawab hothey hain
                      sigpic

                      Comment


                      • #26
                        Re: Jao tumhein moaf kiya

                        bohoth bohoth shukria saaima,aap ki hosla hafzaai ka,wesey aap bhi kuch kum achchah nahi likhti hain,aap hi se tho main mutaasar ho kar main ne ye nazam likhkhi hai,aap ki mazeed shaairi ko pardne ka intizaar rahega:thmbup:

                        Comment


                        • #27
                          Re: Jao tumhein moaf kiya

                          Originally posted by sensible
                          bohoth bohoth shukria saaima,aap ki hosla hafzaai ka,wesey aap bhi kuch kum achchah nahi likhti hain,aap hi se tho main mutaasar ho kar main ne ye nazam likhkhi hai,aap ki mazeed shaairi ko pardne ka intizaar rahega:thmbup:

                          thnx Sensable.. me koi regular shaira nahi hoon :p bas jab kabhi dil mei koi baat aayeh to likh deti hoon ..... pasand kerne ak shukriya :)
                          sigpic

                          Comment


                          • #28
                            duaa

                            ...
                            Last edited by Mujahid Khan; 16 January 2009, 14:19.

                            Comment


                            • #29
                              Re: Jao tumhein moaf kiya






                              bohat hi achhi ghazal hai.... yeh shair bohat pasand aaya mujhey
                              thanx for sharing dear. :rose

                              :rose

                              Comment


                              • #30
                                Re: Jao tumhein moaf kiya

                                Originally posted by Mehak View Post




                                bohat hi achhi ghazal hai.... yeh shair bohat pasand aaya mujhey
                                thanx for sharing dear. :rose
                                thanks for appreciating :rose
                                sigpic

                                Comment

                                Working...
                                X