ek taazah kaavish peGhaam ke chaahne waaloN kee nazr biKhuSooS Khawaateen kee nazr,un beTiyoN kee nazr baihnoN kee nazr jo sharm o Hayaa kee chaadar auhRe chupp saadhe apnee qismat apnee taqdeer ke faiSloN ke aage sar Kham e tasleem bajaa laane meN maiHv e intizaar haiN,dil se duaa hai Allah paak tamaam bachchiyoN baihnoN beTiyoN ko nek o SwaaleH humpallah hum aahaNg rishtah e azdwaaj se munsalik farmaa'ey unheN dunyaa o aaKhirat kee KhushiyaaN aur izzateN ataa farmaa'ey (aameen)
laboN peh apne sajaale keh ikk haNsee hooN maiN
tuu dil meN apne basaale keh ikk Khushee hooN maiN
KhizaaN raseedah se mausam kee hai hawaa har soo
abb aake mujh ko bachaale keh ikk kalee hooN maiN
sabhee haiN saNg tire apne maasiwaa mere
gale se mujh ko lagaale keh ikk paree hooN maiN
sajaale aaNkoN meN apnee tuu meeThe se sapne
yaa chashm e nam meN chhupaale keh ikk namee hooN maiN
mujhe yuN kab talak aise naheeN mile gaa tuu
"Khayaal" apnaa banaale keh ikk tiree hooN maiN
Ismail Ajaz Khayaal

Comment