Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Perwaney shamase ghabraya nahein kartey

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Perwaney shamase ghabraya nahein kartey

    ham tark- e-taluq ko apnaya nahein kartey

    dil-e-dostan ko tarpaya nahein kartey

    roothh gaey tumm to qyamat hoogee

    ham dil ko apney bhee manaya nahein kartey

    maiey khaney janey k ham nahein qayaal

    paimaney ko munhh lagaya nahein kartey

    naqsh muhabbat k jo ban jaein dil per

    seenaeiy mein un ko chupaya nahein kartey

    moonjun k talatum se khoof kuun hoo

    perwaney shama se ghabraya nahein kartey

    kinarey k shajar ko darya sey kya natta

    sahil k musafir mootee paya nahein kartey

    bhuja sako to bhujado shaeor ki qadeel

    sapnoo k khoogar ko jagaya naein kartey

    muhabbat main athar jeena bhe marna bhe

    qadam rahey muhabbat se hataya nahin kartey

    --------kalaam dr athar hussain siddiqui(ibne sultan narvi)








  • #2
    Re: Perwaney shamase ghabraya nahein kartey

    Wah bohat khoob janab, kafiyoon ka tasalsul bohat khoob tha aur lafzoon ka intikhaab aik khaas ehsaas kay liye kaafi shandaar tha.... likhtay rahyeh aur hum sab ko apni tehreeron say mustafeed kartay rahyeh, shukriya
    sigpic

    Comment

    Working...
    X