Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Khali kar k botal bahektey nahein

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Khali kar k botal bahektey nahein

    naley bulbul k soon kar ruktay nahein

    khoon kartey gulon ka thaktay nahein

    zakham itney hein k dil behalta nahein

    faryad kaleion ki bhe wo suntey nahein

    ishq kee wardaat mashghala hey un ka

    perwaney kitney jaley kabhe gintey nahein

    labo rukhsar ke teh mein ghum k afsaney

    qatil nighahon se aanso nikaltey nahein

    shama badnaam hey usey dosh na doo

    khud bhe jalte hey sirf perwaney jaltey nahein

    chhora letey hein aksar phool ki khushbo

    khud mehaktey hein wo phool mehaktey nahein

    maey khaney mein nahein koe un k seewa

    khalee kar k botal bahektey nahein

    dil cheese hey kya ? Is key jaz bat kya

    athar lagta hey aisa wo dil rakhtey nahein

    -------kalam dr athar hussain siddiqui(ibne sultan narvi)






  • #2
    Re: Khali kar k botal bahektey nahein

    buth he khoobsoorat Poetry hai janb aap eky
    I aM Not a complete Idiot......Some parts are Missing........

    Comment


    • #3
      Re: Khali kar k botal bahektey nahein

      buht khoob.. khush rahien
      u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

      :pr:

      Comment

      Working...
      X