Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Rang-e-EID

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Rang-e-EID

    Assalaam-O-Alaikum All

    Choonkay EID ki aamad aamad hay tou hum per bhi eid ki munasbit say shayeri ki aamad hogayi :) Eid-ul-Adha kay mouqay per aap sab kay chehroon per MUSKURAHAT bikhairnay kay liye ek adna si koshish, aap sab ki khidmat main paish kar raha hoon..

    RANG-E-EID

    Chahnay waloon kay liye roz-e-saeed hota hay
    BaRa hi niraala yeh Rang-e-Eid hota hay........!

    Chehroon pay jaisay gulaab khilnay lagain
    Nigahain yoon aapas main milnay lagain
    Dilon main mohabbatain umadnay lagain
    Ashiqoon kay liye bahana-e-deed hota hay
    BaRa hi niraala yeh Rang-e-Eid hota hay


    Hontoon pay laali, hathoon main mehndi laga kay
    Ankhoon pay lashkara, honton pay gloss saja kay
    ban than kar nikleen hay yoon adayain dikha kay
    Competition may make-up yoon shadeed hota hay
    BaRa hi niraala yeh Rang-e-Eid hota hay

    Teen dinon kay liye teen nayay libaas chayeh
    Notoon say bhara purse bhi paas chayeh
    Qurbaani kay liye BAKRA bhi khaas chayeh
    Yoon he shouq-e-baRahee mazeed hota hay
    BaRa hi niraala yeh Rang-e-Eid hota hay

    Dua go hay har koi kay Eid Raas aajayay
    Jis ko pasand kartay hay khudh hi pas ajayay
    Ranjhay ki heer aur Paroo ka devdas ajayay
    Issi tarah har koi pur umeed hota hay
    BaRa hi niraala yeh Rang-e-Eid hota hay

    Chahnay waloon kay liye roz-e-saeed hota hay
    BaRa hi niraala yeh Rang-e-Eid hota hay........!

    thefire1 (18/11/2009)
    sigpic

  • #2
    Re: Rang-e-EID

    Walikum Salam chiips

    bohut khoob shandar

    Inpage use kerain to kaam me Nikhaar aye ga :)

    Comment


    • #3
      Re: Rang-e-EID

      waah janab fire sahib bahot khoobsurat likha hai aap ne
      sigpic

      Comment


      • #4
        Re: Rang-e-EID

        Bohat shukriya KUKU jee aur WASI sahab pasand karnay ka, khush rahyeh :)
        sigpic

        Comment


        • #5
          Re: Rang-e-EID

          Assalam o Alaikum WR WB..

          Bohat umdah likha hai aap ne EID kay unwan per....
          Eid kay rangoon ko bohat khobsorti se aap ne apnay lafzoon main pero ker pegham ki zeenat banaya ....
          khush rahain


          میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


          میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

          Comment


          • #6
            Re: Rang-e-EID

            WOW
            bahut hi nice
            bahut hi hala shering

            Comment


            • #7
              Re: Rang-e-EID

              BaRa hi niraala yeh Rang-e-Eid hota hay

              buht khoooobbbbbbbb.....
              aap ki koi kitab bhi aa rahi hai kiaaa.....
              For New Designers
              وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

              Comment


              • #8
                Re: Rang-e-EID

                W.Salam
                buht khubsurat lekha hai app ni Fireji....
                khush rahien
                u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                :pr:

                Comment


                • #9
                  Re: Rang-e-EID

                  Walaikum Assalaam

                  @Mehwish.... itnay khoobsurat alfazoon main tareef karnay ka bohat bohat shukriya, aisay alfaz aap say aatay hain tou bohat khushi mehsoos hoti hay, khush rahyeh :)

                  @Nakia, thank you for liking it, khush rahyeh :)

                  @Rida, aap ki pasandeedgi ka bohat bohat shukriya, nahin yeh khabar dushmanoo nay di hogi.... aisi koi baat nahin :)

                  @Hala, aap ko pasand ayi humari tehreer, humain khushi hoyee, sheer da :)
                  sigpic

                  Comment

                  Working...
                  X