khalish
ek din tum ne bholepan se
apne bachpan ke sathi se
kunwei-n ki mundair pe baithe
yun hi batein karte karte
ulfat ka izhar kiya tha
tum kahti ho nadani thi
kachchi umr ke bahke jazbe
jhooti aik kahani thi
tum to bas meri qismat ho
kabhi na kum howoh chahat ho
mai-n bhi pyar ke is sagar mai-n
dooba dooba rahta hun
jo kuchh tum se paya hai
saint ke usko rakhta hun
phir bhi aksar jane kyun
aik khalish si hoti hai
kash ke us din bholepan se
apne bachpan ke sathi se
ulfat ka izhar na karti-n
ya phir bachpan ka wo sathi
main hota bas main hi hota
nooralsabah
ek din tum ne bholepan se
apne bachpan ke sathi se
kunwei-n ki mundair pe baithe
yun hi batein karte karte
ulfat ka izhar kiya tha
tum kahti ho nadani thi
kachchi umr ke bahke jazbe
jhooti aik kahani thi
tum to bas meri qismat ho
kabhi na kum howoh chahat ho
mai-n bhi pyar ke is sagar mai-n
dooba dooba rahta hun
jo kuchh tum se paya hai
saint ke usko rakhta hun
phir bhi aksar jane kyun
aik khalish si hoti hai
kash ke us din bholepan se
apne bachpan ke sathi se
ulfat ka izhar na karti-n
ya phir bachpan ka wo sathi
main hota bas main hi hota
nooralsabah
Comment