Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

MUST READ before POSTING

Collapse
This is a sticky topic.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • MUST READ before POSTING

    Assalamo allaikum

    Meri aap sey request hai keh is tehreer per ghaur karein aur phir uskey baad is section mein posting karein.... shukriyah :)
    Attached Files
    مجھے تلاش نہ کر ذوقِ بیخودی سجود
    نظر کی چند شعاعوں میں گھر گیا ہوں میں

  • #2
    Re: MUST READ before POSTING

    mein to kisi pe nuqta nahi karti bas cheeni cheeni karti hu itnni achi bachi hu mein

    mere khayal se agar kisi ko postively criticize kiya jaye to ye baht acha hota he... likin insan ko dusre ka jazbaat ka khayal rakhte hue kuch bolna chahye 372-shed

    Comment

    • #3
      Re: MUST READ before POSTING

      jazkaAllah khair for a Positive NOTE :)

      Comment

      • #4
        Re: MUST READ before POSTING

        Hum nay seekha hai
        K NOTE karein k Doosray ki koan koan se khamiyaan hamein
        Na Zeba lagti hain ...!!
        aur os k bad doosra kaam yeh karein k
        WO batein apnay andar se dhoondhein aur Khud ehtesaabi karein aur
        Apnay andar se wo batein clean karein :)

        Comment

        • #5
          Re: MUST READ before POSTING

          Assalamualikum ,
          Sir mein ne padha .... pahle aap hi ki baat ki jaye ke ... do satoor ,kia yeh theek hai .aap ne kitne kam waqth mein yeh tahreer kia hai mujhe pata hai .agar mujhe pata na hota toh bhi mazkoorah bala nishandehi zaroor karti .... likin mujhe bhi bahuth khoob bahuth khoob kahna chahiye ... waisey aapne ... likha acha.itne kam waqth mein .....
          mein ne do satoor wali baat bhi kisi baat ke pasmanzar mein kahi hai . aap khoob samjsaktey hain .is ko na tanqeed samjhiye na taoseeffff....
          Wassalam

          Comment

          • #6
            Re: MUST READ before POSTING

            Originally posted by milestone View Post

            Bilkul 2 satoor :) Aik shair mukamil honey key liyey 2 satoor (yani 2 misroon) ka hona zaroori hai - warna aap ki baat adhoori rehti hai. Aur aksar ham logon mein ikhtilafaat ki buniyad 'adhoori baat' hi hoti hai...
            مجھے تلاش نہ کر ذوقِ بیخودی سجود
            نظر کی چند شعاعوں میں گھر گیا ہوں میں

            Comment

            • #7
              Re: MUST READ before POSTING

              Originally posted by Gul View Post
              Hum nay seekha hai
              K NOTE karein k Doosray ki koan koan se khamiyaan hamein
              Na Zeba lagti hain ...!!
              aur os k bad doosra kaam yeh karein k
              WO batein apnay andar se dhoondhein aur Khud ehtesaabi karein aur
              Apnay andar se wo batein clean karein :)
              Aap ko poora poora haq hasil hai keh aap ko jo baat na'zeba lagti hai, uska izhar karein. Kyun keh insaas ka sab sey barra musleh insaan hi hai. Aur yeh bhi keh aik constructive conflict sey behtar koi shay nahin!
              مجھے تلاش نہ کر ذوقِ بیخودی سجود
              نظر کی چند شعاعوں میں گھر گیا ہوں میں

              Comment

              • #8
                Re: MUST READ before POSTING

                mein ne adhori baat nahi ki balke muqtasar ki hai . jab aap ne do kaha yane tadaad maloom hai . yane yeh satar ki jama hai . phir aap ne likha satoor ...satoor bhi jama hai ...kahne ka matlab yeh hai ke shair ke do misre ya satar hain jis ko aap ne adad mein bata diya ... phir aapne satar ki jama satoor ka istemaal kia hai . toh pahle ap ne jo tadaad batai do hai phir satoor ki do farz kar letey hain ....ab jama kijiye do jama do...4 huey .....kia yahan do satar ka istemaal sahi nahi lagta ?satoor ziyada nahi hain .kia do satraon mein likhana kafi nahi tha .

                Comment

                • #9

                  :khi::khi:Aap kahin Urdu-e-Mu'ala to nahin :p

                  Dekhein Milestone, jab aap tehreer mein likhtey hain to aap 2 satar nahin likhtey 2 satoor likhtey hain - English mein 2 line nahin likhein gey 2 lines likhein gey - iska matlab yeh nahin keh ham 4 lines ki baat kar rahey hain - baat 2 hi lines ki hai. Magar grammer key asool key mutabiq jab 1 sey barhtey hain to woh jama'a key seeghey mein aa jata hai, to jama'a key liyey ham satoor likhein gey, satar nahin :)

                  Agar main yun likhta keh ".... jis mein SATOOR mein dil ki halat biyaan ki jati hai" to mayoob lagta - SATOOR means what? 2? 4? 10? 1000?

                  Agar yun likhta keh "jis mein 2 SATAR mein dil ki halat biyaan ki jati hai" yeh bhi grammer ki ru sey drust nahin - jaisey hi 2 lines ki baat hogi wahan satar nahin SATOOR aaey ga :)
                  مجھے تلاش نہ کر ذوقِ بیخودی سجود
                  نظر کی چند شعاعوں میں گھر گیا ہوں میں

                  Comment

                  • #10
                    Re: MUST READ before POSTING

                    toh yun hota hai tabsarah... apne apna nazriya peish kia aur mein ne apna .... kia aisa nahi kia jasakta ?kion baat ka ruq pheir diya jata hai .?

                    Comment

                    • #11
                      Re: MUST READ before POSTING

                      Originally posted by Admin View Post

                      ab toh mujhe is baat ki tasdeeq karna padhe gi .372-haha372-haha

                      Comment

                      • #12
                        Re: MUST READ before POSTING

                        Originally posted by milestone View Post
                        toh yun hota hai tabsarah... apne apna nazriya peish kia aur mein ne apna .... kia aisa nahi kia jasakta ?kion baat ka ruq pheir diya jata hai .?
                        :khi:arey arey baat ko tool dena, ya uska rukh phairney ki soch nahin, balkeh clear karney ki zaroorat thi...

                        Aap ko apna nazriyah pesh karney ka poora poora haq hasil hai. Lekin jahan per aap key nazriyey ko drustgi ki zaroorat hai, aur ussey saboot key zariyey drust kiya jaa sakta hai to aap ko yeh baat seekhna chahiyey keh aap apna nazriyey drust karein :). Jo nazriyah drust nahin, agar uski drustgi mil jaey, to ussey drust na karna, bewaqoofi hai :). Ghalt nazriyey per arrey rehna bhi aqalmandi nahin na :)
                        مجھے تلاش نہ کر ذوقِ بیخودی سجود
                        نظر کی چند شعاعوں میں گھر گیا ہوں میں

                        Comment

                        • #13
                          Re: MUST READ before POSTING

                          Haan samjh gai mein aap ka tanz ko bhi ... mein aap ki is baat se mutafiq hoon ke nazriya durusth karloon is liye mahfooz kar liya hai . mein tasdeed kar loongi . ke meri baat kitni sahi hai aur kitni ghalat .
                          wassalam & Ah

                          Comment

                          • #14
                            Re: MUST READ before POSTING

                            Shayad aap ko meri pehli post aur us ka reply yaad ho, constructive criticism sirf un logon ko acha naih lagay ga jo seekhna nahi chahtay, main yahan doosron ki naih apni baat karon ga, doosron ki baat wesay bi gheebat hoti hai.meri pehli post aur last post ........ agar main tankid bardasht na karta to kabi na seekh pata.still I need criticism coz I will be a student till death
                            sigpic

                            Comment

                            • #15
                              Re: MUST READ before POSTING

                              main aap se 100% muttafiq hun lekin yeh zaroor kahna chahungi ke jis specific baat par tanqeed ki ja rahi hai uska poora ilm naqqad ko hona chahiye warna tanqeed mahaz baraey tanqeed hojati hai.

                              Comment

                              Working...
                              X