dunya aaj bhi whoi hai,
jo kal thi, kal bhi wohi rahey gi,
jo aaj hai....
khud se poochney bethoon gi ab
chahat ke dar kion kholey
jab janti thi ye dunya
har pal dhoka hai
apney dil se poochoon gi ab
wo ke jo apne hi dil ko na janey
wo ke jo apni hi baton mein uljhey
wo ke jo bas waqt guzarey sang merey
wo ke jo har lafz mein matlab dhoondey
kese hua itna aietebar us pe
apney dil ko samjha liya hai ab to
har chehra apna sa lagey apna hi nahen
har baat jo haqeeqat si lagey
haqeeqat nahen
har aankh jo pyaar se dekhey
wo pyaar nahin hay
khud se poochney bethoon gi ab
yun musalsal zad mein aana mushkilon ke
kion sahoon main
yun musalsal lut-tey jana
kion honey doon mein
yun musalsal aietebaar
kion keroon main
dunya aaj bhi whoi hai,
jo kal thi, kal bhi wohi rahey gi,
jo aaj hai....
By, Me ( A )
jo kal thi, kal bhi wohi rahey gi,
jo aaj hai....
khud se poochney bethoon gi ab
chahat ke dar kion kholey
jab janti thi ye dunya
har pal dhoka hai
apney dil se poochoon gi ab
wo ke jo apne hi dil ko na janey
wo ke jo apni hi baton mein uljhey
wo ke jo bas waqt guzarey sang merey
wo ke jo har lafz mein matlab dhoondey
kese hua itna aietebar us pe
apney dil ko samjha liya hai ab to
har chehra apna sa lagey apna hi nahen
har baat jo haqeeqat si lagey
haqeeqat nahen
har aankh jo pyaar se dekhey
wo pyaar nahin hay
khud se poochney bethoon gi ab
yun musalsal zad mein aana mushkilon ke
kion sahoon main
yun musalsal lut-tey jana
kion honey doon mein
yun musalsal aietebaar
kion keroon main
dunya aaj bhi whoi hai,
jo kal thi, kal bhi wohi rahey gi,
jo aaj hai....
By, Me ( A )
Comment