Ghazal
Us ne ja-n mangi thi hum khud ko fida kar dete
Baat aisi na thi jo us ko khafa kar dete
Baat aisi na thi jo us ko khafa kar dete
Char tinke hi sahi tere tahaffuz ke liye
Tu jo ajata nasheman ko qila kar dete
Tu jo ajata nasheman ko qila kar dete
Woh ke khud apne qafas main hai ana ke jo aseer
Phir us-e kaise khud us se hi riha kar dete
Phir us-e kaise khud us se hi riha kar dete
Zard patton se na shikwa tha koi mujh ko magar
Phool khilte hi mera zakhm hara kar dete
Phool khilte hi mera zakhm hara kar dete
Kaise sayyad the din bhar to qafas main rakhte
Sham hote hi parindon ko riha kar dete.
Sham hote hi parindon ko riha kar dete.
Nooralsabah
Comment