Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

kabhi kabhi....

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • kabhi kabhi....

    kabhi kabhi....
    ye dil bujh sa jata hai...aankhen...nam si ho jaati hain..aur hont khushk pathar se...phir bhi...
    phir bhi...nayee subho..kuch roshni...bohat se raastey..kayee manzilen...apni oor bulati hein...aawaaz deti hein...musafir rukna nahen....
    kabhi kabhi...
    zindagi thak bhi jaati hai...aansoo sookh bhi jaatey hein...manzilen khafa bhi ho jaati hain...raastey kathan se ho jatey hein..phir bhi.....phir bhi...har qadam chalna parrta hai...band hoti aankhon se bhi dekhna parrta hai... bikharti aarzoouon ko sametna parrta hai...
    kabhi kabhi...
    na chahtey huye bhi...haan sach main naa chahtey huye bhi...zindagi se larrtey huye...zindagi hi ko jeena parrta hai...khoon bantey aansoouon ko bhi khud hi peena parrta hai...aur sitam ye hai...ke ...sitam kuch bhi nahen..palkon ko saja ke... honton ko mehka ke... muskurana parrta hai...ya keh lo...gham ka badal...bohat andar chupana parrta hai...
    kabhi kabhi...chaltey rehna parrta hai... kabhi kabhi....gir ke khud ko khud hi sambhalna parrta hai...apney aansouon ko muskurahat ki zabaan se sajana parrta hai...
    kabhi kabhi
    haan kabhi kabhi...
    ya aksar hi...

    by me ( A )
    Visit My Early PS Work
    You Are Welcome To Comment

  • #2
    Re: kabhi kabhi....

    bohat acha likha hai Aania :)

    Comment


    • #3
      Re: kabhi kabhi....

      grrrrrrrrrrrrrrr8 sharing Aaina sis!!

      Waiting 4 more:)

      Comment


      • #4
        Re: kabhi kabhi....

        Aania Insaan tan tak muskara nahi sakta jab tak us ka dil khush na ho......Muskarahat to us ko kehte hain ke jo dil se nikle.....yeh sab majboori aur be basi ki batein hoti hain..ke masnooi muskarahat.....akhir masnooi muskarahat ki zarorat hi kya hay?
        Allah

        Comment


        • #5
          Re: kabhi kabhi....

          Aania bohot acha likha hai

          jab himat tootney lagey to insaan ko bohot saari achi chezein, kuch kaamyabiyan yaad ker key issey lotana perhta hai warna aagey ka safer kerna mushkil ho jata hai

          keep writing :thmbup:
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment


          • #6
            Re: kabhi kabhi....

            Asslam-o-=Alikum WR WB

            Aania ! sirf itna kho ga ... kay MAshalah ab aap bhot umda likhny lagy ho ....

            FeaamnAllah
            Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
            Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga


            Comment


            • #7
              Re: kabhi kabhi....

              AOA,

              Are aap to bohat acha likhte hain ji bohat khoob:) :thmbup:


              Sohail Abbasi.
              Apna haq ada karo.

              Comment


              • #8
                Re: kabhi kabhi....

                Originally posted by jums
                bohat acha likha hai Aania :)
                shukriyaa.... :rose :rose
                Visit My Early PS Work
                You Are Welcome To Comment

                Comment


                • #9
                  Re: kabhi kabhi....

                  Originally posted by Barish
                  grrrrrrrrrrrrrrr8 sharing Aaina sis!!

                  Waiting 4 more:)
                  thnx sis.. :phool:
                  Visit My Early PS Work
                  You Are Welcome To Comment

                  Comment


                  • #10
                    Re: kabhi kabhi....

                    bahut khobsurat lika hay
                    bahut shukriya
                    wasalaam...

                    Comment


                    • #11
                      Re: kabhi kabhi....

                      beautiful

                      Comment


                      • #12
                        Re: kabhi kabhi....

                        buhat he zaberdast....:x :x

                        really very nice...

                        Comment

                        Working...
                        X