salaam dosto aur dostanyo! [;)]
aaj ek geet le kar Haazir-e-Khidmat huaa huN is ummeed par k shaayad aapkii tab'a ko pasand aa jaaye. aapkii aaraa o tanqees o tanqeed kaa shiddat se intizaar rahegaa...shukria:
to geet mulaaHizah farmaaiye:
1.
saawan ki sulagti raatoN meN
ik yaad ki rim-jhim hai man meN
boondoN ki chubhan se aag lage
hai sard jalan pal-pal tan meN
2.
aashaa to utarti shabnam hai
sajti hai nazar ke pardoN meN
bheega bhi nahiN aur doob gaya
sochoN ka badan kin lai'hroN meN
3.
deepak bhi andhere ka saathi
zulfoN ko ujaala de na sake
barsi hai ghaTa jab doori ki
saagar bhi kanaaraa de na sake
4.
kia rut hai!, fazaa bhi hai rangiN
aati hai bahot yaad apnoN ki
bistar ki shikan se neend uRe
gahri hai nadi bas sapnoN ki
5.
aaNkh meN surKhi chaRhti jaaaye
band pawan hai, aas na soye
saans thame to rut bhi badle
saawan beete, dharti roye
aaj ek geet le kar Haazir-e-Khidmat huaa huN is ummeed par k shaayad aapkii tab'a ko pasand aa jaaye. aapkii aaraa o tanqees o tanqeed kaa shiddat se intizaar rahegaa...shukria:
to geet mulaaHizah farmaaiye:
1.
saawan ki sulagti raatoN meN
ik yaad ki rim-jhim hai man meN
boondoN ki chubhan se aag lage
hai sard jalan pal-pal tan meN
2.
aashaa to utarti shabnam hai
sajti hai nazar ke pardoN meN
bheega bhi nahiN aur doob gaya
sochoN ka badan kin lai'hroN meN
3.
deepak bhi andhere ka saathi
zulfoN ko ujaala de na sake
barsi hai ghaTa jab doori ki
saagar bhi kanaaraa de na sake
4.
kia rut hai!, fazaa bhi hai rangiN
aati hai bahot yaad apnoN ki
bistar ki shikan se neend uRe
gahri hai nadi bas sapnoN ki
5.
aaNkh meN surKhi chaRhti jaaaye
band pawan hai, aas na soye
saans thame to rut bhi badle
saawan beete, dharti roye
Comment