Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

" Dua "

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • " Dua "

    DUA
    Nahi mushkil merey MOULA agar Too moajza kr dey,
    Main iss qabil nahi lekin Too khud se aashna kr dey,
    Too sab ki baat sunta hai Too sab ki puri krtaa hai,
    Maira bhi kaam ban jaey agar Too ik nigaah kr dey,

    Mere MOULA mujhey Too gharq-e-ishq-e MUSTUFA (SAW) kr dey...!
    (AAMEEN)

    دُعا

    نہیں مشکل مِرے مولا اگر تُو معجزہ کر دے
    میں اس قابل نہیں لیکن تُو خود سے آشنا کر دے
    تُو سب کی بات سُنتا ھے تُو سب کی پُوری کرتاھے
    مِرا بھی کام بن جاےء اگر تُو اِک نگاہ کر دے
    مجھے تُو غرق ِ عشق ِ مصطفیٰ (ص) کر دے !!!۔

    (آمین )


    :rose NAZAR HUSSAIN NAZ :rose

  • #2
    Re: " Dua "

    :jazak:

    Allah pak sab k jaiz Duain Qabool O Maqbool farmaye Aameen
    sigpic

    Comment


    • #3
      Re: " Dua "

      Originally posted by nazar hussain naz View Post
      DUA
      Nahi mushkil merey MOULA agar Too moajza kr dey,
      Main iss qabil nahi lekin Too khud se aashna kr dey,
      Too sab ki baat sunta hai Too sab ki puri krtaa hai,
      Maira bhi kaam ban jaey agar Too ik nigaah kr dey,

      Mere MOULA mujhey Too gharq-e-ishq-e MUSTUFA (SAW) kr dey...!
      (AAMEEN)

      :rose NAZAR HUSSAIN NAZ :rose
      jazaak Allaho Kahir...aapkii du'aa nazar navaaz huii...masha Allah bahot Khoob hai aur merii taraf se dili mubaarakbaad qubool kijiiye

      taa-ham, chand ek nikaat kii taraf aapkii tavajjoh malHooz karnaa chaahuuNgaa, agar qubool uftaad!

      1.
      Allah to Qaadir-e-Mutlaq hai aur usiii ke Hukm se aur usii kii ruKhsat se ambiyaa~-e-karaam se mo'ajize sarzad hote haiN...is liye mo'ajiza kaa lafz naa-munaasib hai...merii raaye meN

      2.
      aapkaa band apnii haiyat ke ai'tabaar se 5-viiN line meN lafz "nigaah" [noon, gaaf, alif, chhoTii he] kaa qaafiya dusrust nahiiN...mere Khayaal se aapne is lafz ko "nighaa] [noon, gaaf, do chashmii he, alif] baandhaa hai jo is lafgz kaa saHeeH talaffuz nahiiN hai.

      ummeed hai k aapne mere dostaanaa sujhaao ko tanqees yaa yanqeed ke partav meN nahiiN liyaa hogaa..sorry if u did! :(

      Fall view from inside my car
      near my work place :)

      Comment


      • #4
        Re: " Dua "

        Originally posted by nazar hussain naz View Post
        DUA
        Nahi mushkil merey MOULA agar Too moajza kr dey,
        Main iss qabil nahi lekin Too khud se aashna kr dey,
        Too sab ki baat sunta hai Too sab ki puri krtaa hai,
        Maira bhi kaam ban jaey agar Too ik nigaah kr dey,

        Mere MOULA mujhey Too gharq-e-ishq-e MUSTUFA (SAW) kr dey...!
        (AAMEEN)

        :rose NAZAR HUSSAIN NAZ :rose

        aaaaaah ameen sum aameen bohat hiiiiii piyare dua :jazak:

        Comment


        • #5
          Re: " Dua "

          Originally posted by SherAli View Post
          jazaak Allaho Kahir...aapkii du'aa nazar navaaz huii...masha Allah bahot Khoob hai aur merii taraf se dili mubaarakbaad qubool kijiiye

          taa-ham, chand ek nikaat kii taraf aapkii tavajjoh malHooz karnaa chaahuuNgaa, agar qubool uftaad!

          1.
          Allah to Qaadir-e-Mutlaq hai aur usiii ke Hukm se aur usii kii ruKhsat se ambiyaa~-e-karaam se mo'ajize sarzad hote haiN...is liye mo'ajiza kaa lafz naa-munaasib hai...merii raaye meN

          2.
          aapkaa band apnii haiyat ke ai'tabaar se 5-viiN line meN lafz "nigaah" [noon, gaaf, alif, chhoTii he] kaa qaafiya dusrust nahiiN...mere Khayaal se aapne is lafz ko "nighaa] [noon, gaaf, do chashmii he, alif] baandhaa hai jo is lafgz kaa saHeeH talaffuz nahiiN hai.

          ummeed hai k aapne mere dostaanaa sujhaao ko tanqees yaa yanqeed ke partav meN nahiiN liyaa hogaa..sorry if u did! :(

          DEAR ,
          thanks u v much keh aap ney mera dhyaan islaah ki taraf karwa dia. aap ka pehla point kuch waziah nahi hua. aap moajza ko kahan mansoob kar rahey hain?? main ne MOULA ka lafz ALLAH (J) ke liye istimal kia tha.
          aur 2nd point mei aap ney jo nigaah ka farq nighaa se farmaya hai wo Main ne kuch yoon likha tha . (noon, gaaf , alif , chotti he). aur mera khyal hai keh yeh wazan mei poora hai. shaiyd aap iss se behter raay de sakeen>>>


          beher haal aap ka bohat shukria keh aap ne DUA ko qabil e ghour samjha.

          thanks,
          :roseNAZAR HUSSAIN NAZ:rose

          Comment


          • #6
            Re: " Dua "

            aamin..

            bohat hi khobsorat dua hai

            Comment


            • #7
              Re: " Dua "

              Mere MOULA mujhey Too gharq-e-ishq-e MUSTUFA (SAW) kr dey...!
              am33n...
              jazakAllah....

              Comment


              • #8
                Re: " Dua "

                :SubhanAllhaa:
                :jazak:
                Aameen Sum aameen Ya Rabb-ul-Aalmeen
                Originally posted by nazar hussain naz View Post
                DUA
                Originally posted by nazar hussain naz View Post
                Nahi mushkil merey MOULA agar Too moajza kr dey,
                Main iss qabil nahi lekin Too khud se aashna kr dey,
                Too sab ki baat sunta hai Too sab ki puri krtaa hai,
                Maira bhi kaam ban jaey agar Too ik nigaah kr dey,

                Mere MOULA mujhey Too gharq-e-ishq-e MUSTUFA (SAW) kr dey...!
                (AAMEEN)

                دُعا

                نہیں مشکل مِرے مولا اگر تُو معجزہ کر دے
                میں اس قابل نہیں لیکن تُو خود سے آشنا کر دے
                تُو سب کی بات سُنتا ھے تُو سب کی پُوری کرتاھے
                مِرا بھی کام بن جاےء اگر تُو اِک نگاہ کر دے
                مجھے تُو غرق ِ عشق ِ مصطفیٰ (ص) کر دے !!!۔

                (آمین )


                :rose NAZAR HUSSAIN NAZ :rose

                Comment


                • #9
                  Re: " Dua "

                  Originally posted by nazar hussain naz View Post
                  aap ka pehla point kuch waziah nahi hua. aap moajza ko kahan mansoob kar rahey hain?? main ne MOULA ka lafz ALLAH (J) ke liye istimal kia tha.
                  meray khyaal say sher Ali nay sahi kaha hay.. Main koshish karta hoon k baat samjha sakoon

                  aik insaan agar koi aisa kaam karta hay jo doosray insaan nahi kar saktay to agar wo insan agar nabi ho to us kaaam ko ham mojza kahain gay... For example chaand ko do tukray karnay... is liye mojza ka lafz sirf Ambyaa say mansoob hota hay...

                  Allah kio k har kaam kar sakta hay... is liye Allah agar kuch karta hay jo super-natural hay like asman ko peda karna etc. to ye isko mojza nahi Allah ki Qudrat kaha jaye ga... Kio k Mojza sirf nabi say mansoob kya ja sakta hay....

                  agar main nay kuch ghalat kaha ho to fraquantly correct kar dain..


                  Please Visit My Blog

                  http://aayasir.wordpress.com/

                  Comment


                  • #10
                    Re: " Dua "

                    Originally posted by A.A.Yasir View Post
                    meray khyaal say sher Ali nay sahi kaha hay.. Main koshish karta hoon k baat samjha sakoon

                    aik insaan agar koi aisa kaam karta hay jo doosray insaan nahi kar saktay to agar wo insan agar nabi ho to us kaaam ko ham mojza kahain gay... For example chaand ko do tukray karnay... is liye mojza ka lafz sirf Ambyaa say mansoob hota hay...

                    Allah kio k har kaam kar sakta hay... is liye Allah agar kuch karta hay jo super-natural hay like asman ko peda karna etc. to ye isko mojza nahi Allah ki Qudrat kaha jaye ga... Kio k Mojza sirf nabi say mansoob kya ja sakta hay....

                    agar main nay kuch ghalat kaha ho to fraquantly correct kar dain..
                    SALAM ,
                    I think YASIR you r saying it right...
                    i ll try to replace this word with some sutiable wording. :mm:

                    thanks to explain.
                    n@@z

                    Comment

                    Working...
                    X