Sundar sundar sapnay thay
Kiya kuch socha kartay thay
Rowshan chaandni raaton main
Saawan ki barsaaton main
Khuaab huein woh baatain sab
Ghowr huein woh raatain sab
Sundar sapna toot gaya
Tha jo saathi choot gaya
Ab dil ko baihlatay hain
Us ko yeh samjhatay hain
Sapnay to phir sapnay hain
Sapnay toot hi jatay hain
Kab tabeer patay hain
Sapno ka phir rona kiya
Ro ro jeewan khona kiya
Geet khushi kay gaati ja
Har gham ko thukrati ja
Bhool ja beeti baaton ko
Rowshan chandni raaton ko
Par dil to bas dil hi hay
Ziddi nadaa'n paagal hay
Kitna hi samjhao isay
Kitna hi baihlao isay
Bhoolay na beeti batain
Har jaanib bikhri yadain
Gham khushiyon say jeet gaya hay
Sukh ka saawan beet gaya hay
Raat guzarna baaqi hay
Saans ka chalna baaqi hay
Zeest ki dori tootay kab
Yeh manzil bhi jaanay kab
Mujh ko paas bulaey gi
Sukh ki neend sulaey gi
Ab to Háya hay yahi dua
Ro liya kaafi khush ho'ja
Ji liya kaafi ab so ja....
(Háya)
Comment