salaam dosto aur dostanyo
ummeed ahi k mizzj-e-giraamii ba_Khair hoNge.
aaj aapkii Khidmat emN apnii ek Ghazal pesh karne kii jasaarat kar rahaa huN is ummeed-e-qawii ke saath k aapkii taba'-e-naazuk par baar-e-giraaN na hogii.
aapkii aaraa kaa Hasb-e-ma'mool intizaar-e-shaadeed rahegaa. apnii tanqeed o tanqees kii lagaam hargiz kas ke na rakhiiyegaa. shukran.
aapkaa Khaak_nashiin,
_______Sheroo
1.
kuchh bhii 'ilaaj-e-gardish-e-dauraaN na ho sakaa
jab tu shareek-e-Haal-e-parishaaN na ho sakaa
2.
dil sii 'azeez cheez luTaa dii Khuloos meN
lekin, izaala-e-Gham-e-dauraaN na ho sakaa
3.
faSl-e-bahaar aayii to zabt-e-junuuN rahaa
deevaangii meN chaak gariibaaN na ho sakaa
4.
aa! maiN gale lagaa luuN tujhe, ai Gham-e-Hayaat!
tujh se to mere dard kaa darmaaN na ho sakaa
5.
jiskii talaash meN hai nazar maHv-e-justuju
"Sheroo!" usii kii deed kaa saamaaN na ho sakaa

Comment