Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

merii ek aur Ghazal...log milte haiN, bhulaa dete haiN

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • merii ek aur Ghazal...log milte haiN, bhulaa dete haiN

    salaam 'alaikum

    ek aur Ghazal le kar Haazir-e-Khidmat huaa huN. umemed hai k baar-e-giraaN na guzregii. aapkii aaraa kaa shiddat se intizaar rahegaa bhale hii vo tanqeed ho yaa tanqees :)

    shukria

    _______Sheroo

    1.
    log milte haiN, bhulaa dete haiN
    kaisii be-naam sazaa dete haiN

    2.
    aaNkh bhar aayii hai fasl-e-gul meN
    phuul khilte haiN, rulaa dete haiN

    3.
    naama be-naam sahii, uske Huroof
    terii Khushboo kaa pataa dete haiN

    4.
    kia kisii se kaheN roodaad-e-Hayaat
    log baatoN ko havaa dete haiN

    5.
    mujh se milte haiN to ashkoN kaa lahoo
    muskuraahaT meN milaa dete haiN

    6.
    kitne anjaan haiN arbaab-e-jafaa
    zehr maaNgeN to davaa dete haiN

    7.
    phool mahke haiN Ghazal meN, "Sheroo!"
    zaKhm alfaaz sajaa dete haiN
    Last edited by SherAli; 22 October 2008, 21:44.

    Fall view from inside my car
    near my work place :)

  • #2
    Re: merii ek aur Ghazal...log milte haiN, bhulaa dete haiN

    Bahot khoob janab bahot khoobsurat Gazal likhi hai aap ne
    sigpic

    Comment


    • #3
      Re: merii ek aur Ghazal...log milte haiN, bhulaa dete haiN

      w.salam
      buht khoobsurat shero bro... lekhti rahi .. khush rahein
      u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

      :pr:

      Comment


      • #4
        Re: merii ek aur Ghazal...log milte haiN, bhulaa dete haiN

        Originally posted by WASI ANJUM View Post
        Bahot khoob janab bahot khoobsurat Gazal likhi hai aap ne

        wasim sahib aapkaa maiN teh-e-dil se mutashakkir huN k aapne merii kaavish na sirf pasand farmaayii bal k apne besh-bahaa auqaat meN se chand lamHe churaa kar merii Hausalah-afzaaii farmaayii. :)

        Fall view from inside my car
        near my work place :)

        Comment


        • #5
          Re: merii ek aur Ghazal...log milte haiN, bhulaa dete haiN

          Originally posted by *Hala* View Post
          w.salam
          buht khoobsurat shero bro... lekhti rahi .. khush rahein

          shukran hamsheera Haala saaHiba :). aapkii Hausalah afzaaii nihaayat aham hai mere liye. shukria ek baar phir se aapkaa :)

          Fall view from inside my car
          near my work place :)

          Comment


          • #6
            Re: merii ek aur Ghazal...log milte haiN, bhulaa dete haiN

            Originally posted by SherAli View Post
            salaam 'alaikum

            ek aur Ghazal le kar Haazir-e-Khidmat huaa huN. umemed hai k baar-e-giraaN na guzregii. aapkii aaraa kaa shiddat se intizaar rahegaa bhale hii vo tanqeed ho yaa tanqees :)

            shukria

            _______Sheroo

            1.
            log milte haiN, bhulaa dete haiN
            kaisii be-naam sazaa dete haiN

            2.
            aaNkh bhar aayii hai fasl-e-gul meN
            phuul khilte haiN, rulaa dete haiN

            3.
            naama be-naam sahii, uske Huroof
            terii Khushboo kaa pataa dete haiN

            4.
            kia kisii se kaheN roodaad-e-Hayaat
            log baatoN ko havaa dete haiN

            5.
            mujh se milte haiN to ashkoN kaa lahoo
            muskuraahaT meN milaa dete haiN

            6.
            kitne anjaan haiN arbaab-e-jafaa
            zehr maaNgeN to davaa dete haiN

            7.
            phool mahke haiN Ghazal meN, "Sheroo!"
            zaKhm alfaaz sajaa dete haiN
            sher ali.....muje koi khaas know how nae han shairy k baaray iss liye koi tanqeed baraye islaah nae krskoon gi.....haan muje andaz yeh kisi shaair ka mehsoos horaha hai....:khi:....last 3 shairs achay lagay.:thmbup:
            شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

            Comment


            • #7
              Re: merii ek aur Ghazal...log milte haiN, bhulaa dete haiN

              nice sharing ...................
              :alhamd::SubhanAllhaa::alhamd::jazak::insha:

              Comment


              • #8
                Re: merii ek aur Ghazal...log milte haiN, bhulaa dete haiN

                Originally posted by saraah View Post
                sher ali.....muje koi khaas know how nae han shairy k baaray iss liye koi tanqeed baraye islaah nae krskoon gi.....haan muje andaz yeh kisi shaair ka mehsoos horaha hai....:khi:....last 3 shairs achay lagay.:thmbup:

                hayeN? Khjaala aap shaa'ira nahiiN maiN :o maiN to u ko "Ghaliba" samajhtaa thaa...chaleN koi baat nahiiN...Ghaliba bhi ban jaayeNgii nasr nigaarii meN :)

                pasandeedgii ke liye maiN u kaa mamnoon huN :)

                Fall view from inside my car
                near my work place :)

                Comment


                • #9
                  Re: merii ek aur Ghazal...log milte haiN, bhulaa dete haiN

                  Originally posted by rehman View Post
                  nice sharing ...................
                  thank you bhai mere :)

                  Fall view from inside my car
                  near my work place :)

                  Comment


                  • #10
                    Re: merii ek aur Ghazal...log milte haiN, bhulaa dete haiN

                    kia kisii se kaheN roodaad-e-Hayaat
                    log baatoN ko havaa dete haiN
                    nicely written :thmbup:
                    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                    Comment


                    • #11
                      Re: merii ek aur Ghazal...log milte haiN, bhulaa dete haiN

                      nice sharing

                      Comment


                      • #12
                        Re: merii ek aur Ghazal...log milte haiN, bhulaa dete haiN

                        Originally posted by SherAli View Post
                        hayeN? Khjaala aap shaa'ira nahiiN maiN :o maiN to u ko "Ghaliba" samajhtaa thaa...chaleN koi baat nahiiN...Ghaliba bhi ban jaayeNgii nasr nigaarii meN :)

                        pasandeedgii ke liye maiN u kaa mamnoon huN :)
                        haaayeeen?
                        tum aur kiya kiya smjhtay ho sher ali..abi bata do taa k me tumhari tassali krwaoon zra.....
                        شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                        Comment


                        • #13
                          Re: merii ek aur Ghazal...log milte haiN, bhulaa dete haiN

                          Originally posted by saraah View Post
                          haaayeeen?
                          tum aur kiya kiya smjhtay ho sher ali..abi bata do taa k me tumhari tassali krwaoon zra.....

                          chhoTii Khaala aisii koi baat nahiiN hai...:) u r a great member...me kii Khaala jo ho hehehe...me kii baat par dhyaan na diyaa kareN...me kii baat aur gadhe kii laat kaa koii bharosa nahiiN ;) hehehe

                          Fall view from inside my car
                          near my work place :)

                          Comment


                          • #14
                            Re: merii ek aur Ghazal...log milte haiN, bhulaa dete haiN

                            Walikumsalam

                            kia kisii se kaheN roodaad-e-Hayaat
                            log baatoN ko havaa dete haiN

                            Bht khoob...:thmbup:

                            Comment


                            • #15
                              Re: merii ek aur Ghazal...log milte haiN, bhulaa dete haiN

                              Originally posted by Xenja View Post
                              nicely written :thmbup:
                              tahnk you so very much Xenja Ji :)

                              Fall view from inside my car
                              near my work place :)

                              Comment

                              Working...
                              X