Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

zindagi ka aitebaar. . .

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • zindagi ka aitebaar. . .

    ab to bas ker de aie dil zindagi ka aitebaar. . .
    kuch bhi kar lo kuch bhi kar guzro lekin. . . .

    is zameen pe basney waley log sangdil hi rahenge.
    aarzoo mar jao ab to tum bhi dil pe hansti ho...

    khuwab na dekho ke sab apna saa phir lagney lagey..
    khuwab aankhon ki zaroorat hain to sirf raat bhar....

    mushkilon se manzilon ke raastey dhoondhey to the..
    qismaton ne ham ko chorra ham se rastey kho gaye..

    aaj phir uljhan ka din dil hai mera beqarar.......
    hasrato ab saath chorro jab tumhara koi nahen...

    raat se uljhi theen sochen kab hua ye din khabar kiyaa...
    raastey bhar sochti rehti thee khushbu aaye gi...

    kesa sangdil hai ye lamha yaad teri jo saath laayaa..
    kitna samjhaoon isey kese samjhaoon isey..

    zindagi ka aitebaar zindagi se takraar hai...
    har subho ye soch kar uth-ti hoon main mazboot hoon..

    phir wohi jo khel mere saamney ho jaye bapa...
    dil kisey ab dhoondhta hai sochye kia janoon mein...

    sab ne torra sab ne chorra phir bhi ye kesi wafa
    kis se wafaaa....

    ab to bas
    ab to bas kar de aie dil

    lamhon ka
    yadon ka bhi
    aitebaar

    chand khushyaan maangi hein
    lamhon ki aaazmaayeshon se

    chand khushyaan kab milen gi
    kis dareechey mein rahooon

    roti huyee aankhon ne
    aansoo se rishta torr diyaa

    laraztey honton ne shikwa
    zindagi se chorr diyaa

    phir ye kion aahat sataye
    phir ye dil rota hai kion...

    kaun de gaa kaun de gaa
    in sawalon ka jawab

    ab to bas kar de aie dil
    zindagi ka aitebaar... ...................



    by, ME(A)

    Visit My Early PS Work
    You Are Welcome To Comment

  • #2
    Re: zindagi ka aitebaar. . .

    zabardast aania,bahot khoob.

    Comment


    • #3
      Re: zindagi ka aitebaar. . .

      khuwab na dekho ke sab apna saa phir lagney lagey..
      khuwab aankhon ki zaroorat hain to sirf raat bhar....

      Bohat umdah sher hay......thanx for sharing :)
      Allah

      Comment


      • #4
        Re: zindagi ka aitebaar. . .

        WOW great


        likhtay rahain

        Comment


        • #5
          Re: zindagi ka aitebaar. . .

          Originally posted by zain
          zabardast aania,bahot khoob.
          thnx a lot...
          Visit My Early PS Work
          You Are Welcome To Comment

          Comment


          • #6
            Re: zindagi ka aitebaar. . .

            Yaqeen kro itni mushkil se parha hay vo bhi sara naihn start or end parha hay...end zayda acha kiya hay nazam...........main smjhta houn kay nazam ko chotta sa hona chahey ,,,,,,,,,zayda lambi nazm parhi naihn jati........jasa kay ab hova hay mery sath
            tumhara kaya khyal is baray main?>
            H
            @
            $
            $
            @
            N

            Comment


            • #7
              Re: zindagi ka aitebaar. . .

              Originally posted by sahil_ki_khamoshi
              Yaqeen kro itni mushkil se parha hay vo bhi sara naihn start or end parha hay...end zayda acha kiya hay nazam...........main smjhta houn kay nazam ko chotta sa hona chahey ,,,,,,,,,zayda lambi nazm parhi naihn jati........jasa kay ab hova hay mery sath
              tumhara kaya khyal is baray main?>
              H
              @
              $
              $
              @
              N
              :lol:lol
              Visit My Early PS Work
              You Are Welcome To Comment

              Comment


              • #8
                Re: zindagi ka aitebaar. . .

                Nice Sharng,,
                sigpic

                Comment


                • #9
                  Re: zindagi ka aitebaar. . .

                  very nice
                  zaberast
                  keep it up
                  Uzair

                  Comment

                  Working...
                  X