Asslmaoalikum :rose
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Mujhay Khuaabo'n Say Shikaayat Hay
Collapse
X
-
Re: Mujhay Khuaabo'n Say Shikaayat Hay
Mujhay apno'n say shikaayat hay
Kiyu'n apna bann kay dikhaatay thay
Kiyu'n jhoota haq woh jatatay thay
Mai'n saaray haq day daiti thi
Aur khud ko un'ka samajhti thi
Apno'n nay moo'n jo mowr liya
Mai'n nay bhi un'ko chowr diya...
Haya ji saray ka kalaam apni misal aap hey, aap nihayet hi khoobsurati aur sadagi k sath haqeeqat ko lafzon k saanchay mein dhaal deti hein..........bohat pasand aaya aap ka kalaam. khas ker ooper ki chandd lainein to kamaal ki hein........thanx 4 sharing:khi: :rose :rose
-
Re: Mujhay Khuaabo'n Say Shikaayat Hay
Assalaam o alekum,
waaaah kyaa kehnien zabardast halqe phulqe alfaazoon mien peeroyi huee aapki yeh kavish waaqaee dil ko chhuutii huee ghuzer gayi khaas taur per yeh qitta bass farq sirf itnaa hai ke aapnien un rishtoon se munh moor liyaa aur mujhse munh mooraa jaataa nahin :)
Mujhay rishto'n say shikaayat hay
Kiyu'n mujh say rishtay jatatay thay
Aur jhootay naatay banaatay thay
Mai'n rishto'n mai'n kho jaati thi
Aur dil say apna banaati thi
Rishto'n nay moo'n jo mowr liya
Mai'n nay bhi un'ko chowr diya
bahoot khoob dili daad qabool karien khush rahien:tang: RISK IS MY BUSINESS
DANGER IS MY GAME
DONT PLAY WITH ME
BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:
Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe
Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe
Comment
-
Re: Mujhay Khuaabo'n Say Shikaayat Hay
W.salaam
Khurram ji main nay sirf Shaairi ki hadd tak hi choura hay aur moo'n moura hay k yeh mumkin nahi mairay liye....yeh sab bas feelings hai'n aur kuch nahi sab kuch hi takhayyulaati hay :lol ....mujhay to shikaayat tak say shikaayat nahi :lol
Aap ka bouhat umda reply hay jis ko read kar k mujhay bouhat achcha laga.:jazak: :):roseENIGMA:rose
Comment
-
Re: Mujhay Khuaabo'n Say Shikaayat Hay
Mujhey KHuwaboN se shikayat hay......khuwab sache nahi hote .......han insaan jagtey main khuwab na dekhe to......aur na hi khuwab zindgee ban sakte hain.....to in se shikayat kesi?
Anyway Bohat kamal ka likha hay pasand aaya.....:)Allah
Comment
-
Re: Mujhay Khuaabo'n Say Shikaayat Hay
:jazak: Yaaram ji kay aap nay is ko urdu mai'n compose kiya.Maira likha huwa sab aap hi urdu main compose kar rahay hain jis k liye dil say shukar guzaar hu'n.Khush rahiye sadaa.Aameen:)
Yaaram ji mujhay to Shikayat say bhi shikayat nahi:) yeh bas shairi ki hadd tah ki hay.kisi say zara gila nahi.:lol hehehehe aur maira likha koi parhta hi kahaan hay na time hay k koi bhi is likhay huway par aik nazar bhi daalay is liye bay fikar ho kay likhti hu'n.:)
Yeh to izhar-e-khayalaat ka tareeqa hay
Loge kaihtay hain shaairi jis ko:roseENIGMA:rose
Comment
Comment