Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aik Qità

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Aik Qità

    KOI TO YAE DAST.E.TAHI THAAM LAY
    HAR JEHET HAATH APNA BARHAYA HAM NAY
    HAR SANAM QADA.E.YARAA'N MAY SADA KI
    PAR NA KISSI DOST KO WAA'N PAYA HAMNAY

  • #2
    Har zamana may huwa kartay hai'n zeher kay pyaallay
    Bass yahee soch kay aik jaam outhaaya ham nay
    Zamaan.o.zaat kabhi do ho nahi saktay
    kal sohbat.e.khaab may yae soqraat ko samjhaya ham nay

    Comment


    • #3

      Comment


      • #4

        Comment


        • #5
          Originally posted by sahil_ki_khamoshi
          par na waha kisi dost ko paya ham nay
          yar inhy dost kehna hi naihn tha...........
          H
          @
          $
          $
          @
          N

          Ji ji aapnay baja kay irshaad farmaya hehehe H @ $ $ @ N _ Ji!
          Hehehehehe waissay mainay yahi likha hay k kissi dost ko siray say wahaaN paya hi nahi.

          JazzakAllah for your comments... Aur Eid ki khushyaaN bohot bohot mubarak hooN:rose . Wassalam, Zee

          Comment


          • #6
            Originally posted by sahil_ki_khamoshi
            tumhri bhi post 38ve thi or mare bhi............
            wahhhhhhhhhhhhhhhhhooooo...kaya kahin ham aik dosry ko janty tu naihn??/
            H
            @
            $
            $
            @
            N

            Mujhay to lagta hay ham dono JurwaaN haiN aur bachpan may shiV ji kay mailay may kahiN kho gaey thay:tang:
            Wassalam, Zee

            Comment


            • #7

              Comment


              • #8
                Zee:) :rose main zara Diary main note kar loo'n.:lol
                :masha Jab bhi likhtay hain khoob likhtay hain.Mujhay aap ka likha huwa yeh bhi bouhat pasand aaya.plz jab bhi time milay likhtay rahiye ga.Khush rahiye.Aameen:) :rose
                :roseENIGMA:rose

                Comment


                • #9
                  Originally posted by hayaa_n
                  Zee:) :rose main zara Diary main note kar loo'n.:lol
                  :masha Jab bhi likhtay hain khoob likhtay hain.Mujhay aap ka likha huwa yeh bhi bouhat pasand aaya.plz jab bhi time milay likhtay rahiye ga.Khush rahiye.Aameen:) :rose
                  :jazak: JazzakAllah NZ!:rose
                  Pasandeedgi ka shukriah :) Juniors ki howsla afzai aap bohot karti hai'N:masha apkay comments hay howsla barhta bhee bohot hay...hehehhe ARZ KIYA HAY:

                  Mairay chaman may umeed.e.bahaar abb bhee hay
                  TasawurooN may khila lala-zaar abb bhee hay

                  Woh jo qibla-numa hoowa karta tha kabhi
                  Jaan lay! k mutmah-e-nazar abb bhee hay

                  Naya hay ousska jaam nahi parwah yaaro
                  Nazroo'n may to bassa purana khumaar abb bhee hay

                  Ho kitna hi pur-aeyb andaaz.e.dawat.e.may.nowshi
                  Saaqi may chupa sharmeela waqaar abb bhee hay

                  Ibn.e.hidayat nay bana rakha hay oussay apna hirz-e-jaa'N
                  Ousskay paanay ko dil.e.zindah tayyar abb bhee hay


                  Assal words start may pata nahi kiya thay, abb aissay hi likh raha hoon (Time kadd kay :D)

                  Comment


                  • #10
                    Bouhat umda bouhat hi khoob yeh bhi Diary main likhti hun abhi.:lol
                    Aap ka likha sab ko hi achcha lagta hay is baat say mujhay aur khushi hoti hay.likhtay rahiye k Khuda Daad salahiyat hay bhala zaaya kiyun karna?:)
                    :roseENIGMA:rose

                    Comment


                    • #11
                      :jazak: :rose
                      Ji Ji note kar lai'n diary may aur islaah bhee dijyay...

                      Comment


                      • #12

                        Comment


                        • #13
                          Originally posted by Last Knight
                          buhat hee khobsurat

                          LK ji may ya mairee post?:lol

                          JazzakAllah:jazak: 4 appreciation :)

                          Comment


                          • #14
                            Mai'n Kaisay Bataoo'n Kay Kiya Chahta Hoo'n
                            Mai'n Tujh Say Hi Rishta-e-Jaa'n Chahta Hoo'n
                            Ho Mujh Ko Ataa Woh Lutf-e-Sama'at
                            Khuda Say Haya Ki Nida chahta Hoo'n
                            :rose
                            Last edited by Enigmatic; 6 January 2006, 04:38.

                            Comment


                            • #15
                              Originally posted by Enigmatic
                              :rose Mai'n Kaisay Bataoo'n Kay Kiya Chahta Hoo'n
                              Mai'n Tujh Say Hi Rishta-e-Jaa'n Chahta Hoo'n
                              Ho Mujh Ko Ataa Woh Lutf-e-Sama'at
                              Khuda Say Haya Ki Nida Chahta Hoo'n
                              :rose
                              :masha :rose :) :rose
                              :roseENIGMA:rose

                              Comment

                              Working...
                              X