Aik purani ghazal jo aaj share ker rhi hoon, apni qeemati raye se nwaziye ga.:rose
Teri yaad ne rakha man aangan mein qadam
machalnay lagay phir dil k armaan meray
phir chhoo gaya teray qurb ka ahsaas mujhey
khushboo se banay hein jism o jaan meray
shayed tu rasta bhool parray meray ghar ka
mehw e intezar hein dil o jaan meray
abr e muhabbat hi nah barsa, meray shehr mein warna
weeranay yeh ban jatay, gulistaan meray
tujhey pa ker kho diya, yeh zabt nhi mera?
aur kia kia lo gay tum imtehaan meray!
jub nah samjha wo lafzon ki zubaan kabhi
zakhm dil k ban gaye tarjumaan meray
chiragh e lahu se ghar mein roshni ker loon
aao kisi shab ban k mehmaan meray
By Muskan

Comment