Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

AAIYE GIRAH LAGAIYE silsile ke mutalliq kuch zaroori baat!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • AAIYE GIRAH LAGAIYE silsile ke mutalliq kuch zaroori baat!

    Salam ahl-e-bazm!

    AAIYE GIRAH LAGAIYE silsile ki pehli qist mashaAllah se bahut kaamyaab rahi...mujhe khushi hui ke bahut logon ne koshish ki jin mein se kuch logon ne to kaamyaab koshish ki :thmbup:

    PEHLE MUQAABLE KI POLLING mein pehle to sab ki entries post hongi... uske baad unko parts mein distribute karungi ...jo misre behr mein post kiye gaye unko alag karungi,jo misra behr mein nahi tha magar behr mein laaye gaye unko alag,aur aakhir mein woh misre jo behr mein nahi laaye jaa sake.

    aur is baar to polling mein SAB KI ENTIRES shaamil hongi

    magar

    Agli baar se short list karne ke baad sirf unki entries shaamil hogi jinhone poori tarah BEHR mein misre kahe honge...

    ye isliye kar rahi hun taakeh jo log is baar misra behr mein nahi likh sake woh aage koshish karien behr mein likhne ki...aur mehnat karein..behr se mutaaliq mazmoon paRhein...kisi se poochein....threads mein hui behr ke mutaaliq discussions ko dekhein,parhein aur samajhne ki koshish kareiN aur sawaalaat karein..is tarah un mein seekhne ka jazba aayega aur khud mehnat karenge wazan mein likhne ki...main mazeed aasaan karne ke liye ...ye bhi bataongi ke misra kis mashoor ghazal ke tarz pe hai..taakeh use gungunaa kar woh apne misre ko us tarz pe baiThaa sakein aur gungunaa sakein bina kisi rukawaT ke... jab basic aa jaayega to dekhiye woh din door nahi jab poori ghazal aap log behr mein likhne lagenge...yaqeen maanein maine bhi aise hi seekha tha..ek ek misre se...so ALL THE BEST TO EVERY1 :thmbup: waise hamare beech senior shayera ZARQA jee bhi maujood hain....inshallah unka bhi sath rahega.

    aur ek aur baat... ab se ye silsila haftawar hone ke bajaaye 15 roza hoga...taakeh aap ko thora aur waqt mile sochne ka....theek :)

    ummeed hai aap logon ka saath aayenda bhi rahega rose

    kisi ko kuch kehna/poocha ho to plz go ahead :salam:

    Regards,
    Shumaila
    Last edited by shummu; 17 July 2008, 10:17.

  • #2
    Re: AAIYE GIRAH LAGAIYE silsile ke mutalliq kuch zaroori baat!

    Shummu jii
    maiN aap se mutafiq huuN agli baar sirf vohi entries shaamil kii jaayieN jo bahr meN hoN
    khush rahiye
    wasalam
    zarqa

    Comment


    • #3
      Re: AAIYE GIRAH LAGAIYE silsile ke mutalliq kuch zaroori baat!

      bahut shukriya!:)

      Comment


      • #4
        Re: AAIYE GIRAH LAGAIYE silsile ke mutalliq kuch zaroori baat!

        Bhot khob.
        14 DIN me mesar tyar krna ho to zyada acha tyar kiya ja skta hai.

        Comment


        • #5
          Re: AAIYE GIRAH LAGAIYE silsile ke mutalliq kuch zaroori baat!

          walaikum salam

          Okay .... :rose
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment


          • #6
            Re: AAIYE GIRAH LAGAIYE silsile ke mutalliq kuch zaroori baat!

            aap dono ka bhi shukriya!

            Comment


            • #7
              Re: AAIYE GIRAH LAGAIYE silsile ke mutalliq kuch zaroori baat!

              Sorry mein nay yeh ab deykha ..thanx and nice way ..Khush rahiyay

              Comment


              • #8
                Re: AAIYE GIRAH LAGAIYE silsile ke mutalliq kuch zaroori baat!

                Shumaila NICE ACHA KADAM HI App ka thanx so much ...

                Comment


                • #9
                  Re: AAIYE GIRAH LAGAIYE silsile ke mutalliq kuch zaroori baat!

                  Nice bahut achha silsla hai,hulm log is pe poora utarne ki poori poori koshish karian ge,,,,
                  thanks
                  Fazal Khan Marwat

                  Comment


                  • #10
                    Re: AAIYE GIRAH LAGAIYE silsile ke mutalliq kuch zaroori baat!

                    Good
                    Tum Agar Bhool bhi jaao tu Ye Haq hay Tumko
                    Meri Baat Or hay Mainay Tu Muhubbat ki hay ... !

                    Comment

                    Working...
                    X