Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Tanha Musafar ki shairi

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Tanha Musafar ki shairi

    Aslam o Alikum,

    ji Gul ji shayed aap ney read kiya hoga. coz main aik or site ka bhi member hon. ok main yahan apni aik bongi see ghazal share karta hon aap k sath. i know aapko achi tu nahi lagey gi. lakin abhi main seekh raha hon na. tu aisa he likha jaata hai. hehehehe

    Main Muhabat ko apni Khata likh raha hon
    Han shidat ko apni sazaa likh raha hon

    Khudhi ko jala raha hon Main aatish-e-karab main tanha
    Dard-e-samander ko apney gehraa likh raha hon

    Jaata he nahi meri aankh se barsaat ka mu'osam
    Mu'asam-e-Ghum ko apney thehraa likh raha hon

    piyas he piyaas bheri hai zaat mein mere
    Main kismat ko apni Sehraa likh raha hon

    ik pal k liye mujhe apni soch ka mehwar kar dey
    apni Hasraton ki tujhse iltajaa likh raha hon

    kia karon aisa k ho Misel "MARIYAM" ki Gawahi
    Main aanso'on ko apney Koyalaa likh raha hon

    "
    USMAN " main SaHiL pey khara hon Jala kar kashtiyan
    yea Azayem ki apney itnhaa likh raha hon

    Wa ta Izo Mantashaa'a Wa ta Ziloo Mantashaa'aa
    apney Muqader ko supurad-e-Khuda likh raha hon


  • #2
    Re: so-e Ghuam kadha hee jaa-tay....aik tarhi gahzal

    Buhat Khoobsoorat kalam ....!

    KioN mazak kartay hein k aap abhi seekh rahay hein !:)

    Masha-Allah ..Buhat khoob likha hai ...!

    aap share kartay rahiyay!
    alag se thread mein ....ta k sab Mustafeez hooN ...!

    Comment


    • #3
      Re: so-e Ghuam kadha hee jaa-tay....aik tarhi gahzal

      Originally posted by Gul View Post
      Buhat Khoobsoorat kalam ....!

      KioN mazak kartay hein k aap abhi seekh rahay hein !:)

      Masha-Allah ..Buhat khoob likha hai ...!

      aap share kartay rahiyay!
      alag se thread mein ....ta k sab Mustafeez hooN ...!

      hehehe thank you so much aap ney mujhe itna encourge kiya or meri Ghazal bhi aapko achi laggi main iss k liye teh dil say mashkoor hon aapka. thank you very much

      arey nahi na. main yahin aap k sath share karta hon buss. hehehe sub read karain ge tu mujhe sharam aati hai. hehehehe

      Comment


      • #4
        Re: so-e Ghuam kadha hee jaa-tay....aik tarhi gahzal

        Aslam o Alikum

        aaj main aapko apni buhat he personal poem sunaata hon. jo main ney apney Ami jani say mukhaatib ho kar likhi thi. i hope aapko pasand aye gi.


        Tanha Musafir

        Lambee Musafton ka
        Main Musafir hon Tanha
        Abhi manzilain door hain
        Abhi chalna bhi or hai
        Tanha see zindgi ka
        Main Tanha Musafir
        Meri Musaftain ghatta do
        Ya lambee umer ki dua do mujh ko
        Ohh "Maan"
        Meri rooh thuk gayee hai
        Ungliyan phair k
        Mere balon main
        Goudd main lay k
        Sula do mujh ko
        Mere seenay main
        Ab baraf jum gayee hai
        Apnay piyaar main
        Lapait lo mujh ko
        Mujhe apni aghosh main
        Smait lo
        Oh "Maan"
        Aaj dil say rula do mujh ko

        Comment


        • #5
          Re: so-e Ghuam kadha hee jaa-tay....aik tarhi gahzal

          yea jo ooper main ne apni poem share ki hai na. issi ka part 2 likha tha main ney yea bhi aap k sath share karta hon........ aapko achi lagi na???

          Khushiyon ka Musafir

          Main khushiyon ka Musafir tha
          Main Udasioyon main khho giya
          Meri siskion ko samait lo
          Mere darad ki bhi kuch dawa karo
          apne aanchal ki aaj thandi hawa do Mujh ko
          Eay Maan too ney jo sikhaya mujh ko acha bura
          main ney aaj tuq bus wahi kiya
          kuch log to mujh ko jaan gaye
          buhaton ney mujh ko dhoka diya
          Meri Mahfilon ko sajja kar
          phir mujhko Ruswa kiya
          Mujhko Tanha kiya
          Main ney sari Duniya ghoom lee
          dur dur ki matti bhi choom lee
          koi tujh saa na mujh ko mil saka
          jis k piyar main itna khaloos ho
          Maan mujhe tujh sa na koi mil saka
          Main toot giya tha, Main bikhar giya hon
          Mujhe smait lo, Mujhe smait lo

          Comment


          • #6
            Re: so-e Ghuam kadha hee jaa-tay....aik tarhi gahzal

            MashaAllah aap k jazbaat buhat achay aur sachay hein
            Allah Taalah hamari MaooN ko salamat rakhay ameen ..!

            Khush rahiyay ..!

            Comment


            • #7
              Re: so-e Ghuam kadha hee jaa-tay....aik tarhi gahzal

              Ameen

              thank you so much Gul ji phir say pasand karney k liye

              jeeti rahiye

              Gul ji aapko punjabi aati hai???? ager aati hai na tu main ney apney chhotey bhai k liye aik poem likhi thi wo bhi share karon ga. lakin filhaal tu aik Ghazal sunaata hon aapko

              Comment


              • #8
                Re: so-e Ghuam kadha hee jaa-tay....aik tarhi gahzal

                Murjhaon kesey


                Jo Beet giya hai Mujh pay wo BAtaon kese
                Darad Jo dil ney sahey hain wo Bataon Kese

                KEse sunaon meri doobati saanson ki aah-o-pukar
                Zakham jo Roh ko miley hain wo dikhaon kesey

                Kesey parho gey roti ankhon ki daastan
                Behtey ashkon ki zubaan samjhaon kese

                Taar zindgi k Saaz dil k toot gaye
                Tanha Akeley main Geet khushiyon k gaon kese

                Bahaar mujhe phir say lot aney ka kah kar gayee hai
                Eay khizaan main khila tha uss k liye ab murjhaon kese

                Comment


                • #9
                  Re: so-e Ghuam kadha hee jaa-tay....aik tarhi gahzal

                  Ap plz alag se aik .....Thread banaaeiN ta k ziyada loag parh sakein ..
                  abhi tu yehi lagay gaa k ...jesay u r just replying to my poetry..

                  aap alag se thread banaein ta k sab loag fez yaab hooN :)

                  aur jee mujh ko pujnabi samjh aaati hai ..:)
                  and u r welcome ...!

                  Comment


                  • #10
                    Re: so-e Ghuam kadha hee jaa-tay....aik tarhi gahzal

                    lakin kahan banaon mujhe batayain na plz

                    ok phir main wahan apney bhai k liye jo poem likhi thi na main ney wo share karon ga

                    wo pakistan main hai. mujhse chhota hai four years. or main yahan itni dooor ussey buhat miss karta hon. mera aik he bhai hai na

                    Comment


                    • #11
                      Re: Tanha Musafar ki shairi

                      wow mera bhi section bunn giya.

                      yupyyyyyyy

                      thank you very much Aanchal ji

                      Comment


                      • #12
                        Re: Tanha Musafar ki shairi

                        Mainoo sochon koolon bacha way veera
                        mere dil da wairha wasaa way veera

                        Tere bajon kala'a hoiyan Sunna hoiyan
                        Mino apney gal naal laa k thand kalejey paa way veera

                        Tere Bajon mere Suuney din tey Suuniyan raatan
                        Too kadey mere des phaira paa way veera

                        Maan di Akhan da taara Babul noo too ddadda piyara
                        Meri tey toon jind jaan way veera

                        Neendran Meriyan uud puud giyan
                        Mainoo ainaa yaad na aa way veera

                        Awaaz teri noo taras giyan wan
                        Mainoo VEER keh k bulaa way veera

                        Rondiyan akhan teriyan tuken raawahan
                        Adhi raati too sufnaa bun k aa way veera

                        Comment


                        • #13
                          Re: Tanha Musafar ki shairi

                          jub tuq aap log meri pehli poetry ki tareefain nahi karain ge

                          uss time tuq koi new poetry share nahi karon ga. hunh

                          Comment


                          • #14
                            Re: Tanha Musafar ki shairi

                            Bahot khoob janab nice poetry
                            Naraz kion ho rahen hain chalen kar di taareef
                            ab aur bhi post karen poetry
                            sigpic

                            Comment


                            • #15
                              Re: Tanha Musafar ki shairi

                              wah ji wah bhai aap kitney taiz ho

                              thori si tareef ki hai pehley oron ko bhi tu karney dein na

                              Comment

                              Working...
                              X