Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Jazbat Pyar aur Ishq

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Jazbat Pyar aur Ishq

    Jazbat Pyar aur Ishq
    Teeno ek bar
    Akelay bethe the


    Jazbat bola meri mano
    Mein akal par havi hota hun
    Jo chahta hun wo karta hun
    Acha bura kia tera mera
    Sab bhol kar gum karta hun
    Tum lakh churao daman mera
    Mein sab ke andar basta hun

    Pyar bola mein kehta nahi
    Mein karta hun
    Jab baat samajh mein na aye
    Jab bina waja koi yaad aye
    Jab bhol kar bhi na bhole
    Tum mujhe
    Jazbat bhi jab thokar khaye

    Mein us par jis par dil aye
    Ajata hun cha jata hun
    Jazbat ki ankh macholi se
    Kuch pass rehti si dori se
    Kho kar bhi jab koi pane lage
    Jab na chahte bhi
    Chane log
    Samjho phir usko pyar hun
    Mein ik andekha
    AWTAAR (GIFT)
    hun mein

    ISHQ chup chup raha
    Sab sunta gya
    dono ki behs
    aur hansta raha
    Chupke se phir
    Pyar ko pass kia
    Aur us ke kaan mein
    Kuch bola aisa
    Jo jazbat bhi na samjha

    Haan pyar ne
    pyar se hichki li
    aur ISHQ ankhon
    mein dub gya
    Jazbat ne jab dekha usko
    dam torte ISHQ ki ankhon mein

    Jazbat tha chinkh kar rone
    Itna roya ke khun uska
    Khud ankh mein uski
    Ashk bana
    Bola ye tune kyun kia

    Kyun Pyar ko ISHQ ne
    Mar diya kia bola tu
    us sey aisa jo usne
    hans kar qurban hua

    ISHQ jazbat se goya hua
    bola tu ye na samjhe ga
    jo meri ruh ka hiss tha
    mujhe se bichara
    aur meri dhun mein rehta
    har dil ko razi karta tha

    Mein wo hun jis se
    Pyar bana
    Na hone ka hona jaise
    Na khone ka khona jaise
    Na rone ka rona jaise
    Aur Raaz ye us ne jan liya

    Mein uska hun ye maan liya
    Mein uska hun ye maan liya
    Mein uska hun ye maan liya

    ( and believe you me I was literally got some tears when I was writing the ending lines)

    Sohail
    Tumhare sath hone ka yaqeen pass rehne se zyda qareeb he!

  • #2
    Re: Jazbat Pyar aur Ishq

    Ye aap ki Nazam hai?
    sigpic

    Comment

    Working...
    X