Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ik Maa Ho Ke Sochti Hoon Mein

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Ik Maa Ho Ke Sochti Hoon Mein

    asalam alaikum wr wb,


    Umeed hai yahan meri pehli poem sab ko pasand aaygi.



    ~*~Ik Maa Ho ke Sochti Hun Mein~*~


    Ik maa ho ke sochti hun mein
    Ke meri aulaad mujhi se peyar kare
    Meri baat maane, mujh se itfaaq kare
    Kitna dukh hoga mujhe phir Allah
    Agar mujhe woh nazar andaaz kare
    Har dam uski khair maangti hun
    Ke koi dukh na usse pareshan kare
    Bardasht nahi hota ke duniya ya akhirat mein
    Uski koi ghalti usse barbaad kare
    Sirf nau maa pait mein rakhne ke baad
    Itna maa apni aulaad se peyar kare
    Magar jis insaan ko Tu ne apne hathon se banaya
    Maa se satter gunna ziada uss se Tu peyar kare
    Jab mujhe apni mumta ka andaza nahi
    Phir tere peyar ka kaise koi shumaar kare?
    Tu keya sochta hoga Ya Rab, jab yehi insaan
    Shaytaan ki khushi ka samaan kare?
    Jab yehi insaan is baat se ghafil hota hai
    Ke woh Teri ibadat ikhtiyaar kare
    Tere peyare Nabi (saw) ki hidayat tukhra kar
    Jahalat ko sar pe sawaar kare
    Teri tamaam nematon ko bhula kar
    Na'shukri se apne aapko barbaad kare?
    Kitni mohlat di maghfirat karne ki Tu ne
    Taa ke insaan akhir jannat ka deedar kare
    Qu'ran mein saaf batla diya Tu ne
    Insaan kaise sirat-ul-mustaqeem par kare
    Tu to tab bhi bakhshna chahta hai
    Jab gunah banda maah-o-saal kare
    Jabke Teri ik nemat ki qeemat chukai ja nahi sakti
    Chahe ibadat koi hazaaron saal kare
    Tu al-Raqib, al-Shahid, al-mumit, Tu hi al-muntaqim
    Phir bhi chup chup ke gunha insaan kare
    Tu al-afuww, al-adl, al-Ra'uf, Tu hi al-alim,
    Phir bhi insaan maghferat ka na samaan kare
    Tere Raham-o-karam ka koi mowazna nahi
    Phir bhi insaan bura apna anjaam kare
    Maa ki mumta ko satter (70) se zarrab de sako to de kar
    Koi kuch pal soch-o-wakaar kare
    Aik hi baat dil mein aayegi ke
    Ke Allah kitna apne bande se peyar kare
    Ae duniya ke Malik tere bhi kuch tawakeyaat hain
    Lekin insaan ki taqdeer ke woh poore kare na kare
    Tu phir bhi bhoolon bhatkon se ghafil nahi
    Na jaane kab koi tauba astaghfaar aa kare
    Tu Al-Hadi, al-Waliyy, al-Wadud, Tu hi al-Muqit
    Is haqeeqat se kaise koi inkaar kare
    Ik maa ho ke sochti hun mein
    Tu kitna apne bande se peyar kare
    ~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~



    wa alaikum asalam wr wb

  • #2
    Re: Ik Maa Ho Ke Sochti Hoon Mein

    Bahot khoob janab
    achhi nazam likhi hai aap ne
    share karti rahen
    sigpic

    Comment


    • #3
      Re: Ik Maa Ho Ke Sochti Hoon Mein

      asalam alaikum wr wb,

      Hosla afzai keliye bohot bohot shukria. InshaAllah share karti rahungi. Magar ye bata doon ke mein ne sirf teesri jammat tak parha hai. Mainly mein ne novels parh ke urdu seekhi hai. Is liye jahan ghalti ho, ya koi lafz ghalt context mein istimaal kar doon to please mujhe correct kiya jaye. Shukria.


      wa alaikum asalam wr wb

      Comment


      • #4
        Re: Ik Maa Ho Ke Sochti Hoon Mein

        Originally posted by Roohi_UK View Post
        asalam alaikum wr wb,

        Hosla afzai keliye bohot bohot shukria. InshaAllah share karti rahungi. Magar ye bata doon ke mein ne sirf teesri jammat tak parha hai. Mainly mein ne novels parh ke urdu seekhi hai. Is liye jahan ghalti ho, ya koi lafz ghalt context mein istimaal kar doon to please mujhe correct kiya jaye. Shukria.


        wa alaikum asalam wr wb
        sab se pehlay aap ko pegham per welcome kehtay hain
        Mujhe bahot khushi hui ye san kar k aap teesri jamait tk parhi hain phir bhi itna achha likh leti hain mein teacher hon ye bhi janta hoon k teesri jamait tak parha likha itna achha likh nahi sakta lekin aap ne kar dikhaya k aap likh sakti hain........likhti rahen
        khush Rahen
        sigpic

        Comment


        • #5
          Re: Ik Maa Ho Ke Sochti Hoon Mein

          asalam alaikum wr wb,

          Thanks again. MashaAllah, bari khushi hui aap teacher hain! Allah apko ujjer de, bohot achi profession naseeb hui hai aapko. Umeed hai ke jahan mein stuck ho jaun wahan aap meri madad karne se daraigh nahi karen ge inshaAllah?


          wa alaikum asalam wr wb.

          Comment


          • #6
            Re: Ik Maa Ho Ke Sochti Hoon Mein

            execllent work sis :rose

            keep sharing with us inshAllah
            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

            Comment


            • #7
              Re: Ik Maa Ho Ke Sochti Hoon Mein

              asalam alaikum wr wb,

              JazakAllah khair sis :)

              wa alaikum asalam wr wb.

              Comment


              • #8
                Re: Ik Maa Ho Ke Sochti Hoon Mein

                Nice sharing....
                Bohat acchi nazm ..

                Comment


                • #9
                  Re: Ik Maa Ho Ke Sochti Hoon Mein

                  very very nice shareeing
                  uzair

                  Comment


                  • #10
                    Re: Ik Maa Ho Ke Sochti Hoon Mein

                    Originally posted by Roohi_UK View Post
                    asalam alaikum wr wb,

                    Hosla afzai keliye bohot bohot shukria. InshaAllah share karti rahungi. Magar ye bata doon ke mein ne sirf teesri jammat tak parha hai. Mainly mein ne novels parh ke urdu seekhi hai. Is liye jahan ghalti ho, ya koi lafz ghalt context mein istimaal kar doon to please mujhe correct kiya jaye. Shukria.


                    wa alaikum asalam wr wb

                    Wa salaam...

                    MashaAllah aap ki pehli kavish hi bohat umdah hai, bohat pasand aai aur yeh jaan ker aur bhi ajeeb sa laga keh aap bhi meri tarha sirf 3 jumatein parhi hain :) Aur main ney bhi jo kuchh seekha hai kitabein parh kar seekha hai - welcome to Pegham and I hope keh aap bohat ziyada kalaam share karein gi :)
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment


                    • #11
                      Re: Ik Maa Ho Ke Sochti Hoon Mein

                      Originally posted by Roohi_UK View Post
                      asalam alaikum wr wb,


                      Umeed hai yahan meri pehli poem sab ko pasand aaygi.



                      ~*~Ik Maa Ho ke Sochti Hun Mein~*~


                      Ik maa ho ke sochti hun mein
                      Ke meri aulaad mujhi se peyar kare
                      Meri baat maane, mujh se itfaaq kare
                      Kitna dukh hoga mujhe phir Allah
                      Agar mujhe woh nazar andaaz kare
                      Har dam uski khair maangti hun
                      Ke koi dukh na usse pareshan kare
                      Bardasht nahi hota ke duniya ya akhirat mein
                      Uski koi ghalti usse barbaad kare
                      Sirf nau maa pait mein rakhne ke baad
                      Itna maa apni aulaad se peyar kare
                      Magar jis insaan ko Tu ne apne hathon se banaya
                      Maa se satter gunna ziada uss se Tu peyar kare
                      Jab mujhe apni mumta ka andaza nahi
                      Phir tere peyar ka kaise koi shumaar kare?
                      Tu keya sochta hoga Ya Rab, jab yehi insaan
                      Shaytaan ki khushi ka samaan kare?
                      Jab yehi insaan is baat se ghafil hota hai
                      Ke woh Teri ibadat ikhtiyaar kare
                      Tere peyare Nabi (saw) ki hidayat tukhra kar
                      Jahalat ko sar pe sawaar kare
                      Teri tamaam nematon ko bhula kar
                      Na'shukri se apne aapko barbaad kare?
                      Kitni mohlat di maghfirat karne ki Tu ne
                      Taa ke insaan akhir jannat ka deedar kare
                      Qu'ran mein saaf batla diya Tu ne
                      Insaan kaise sirat-ul-mustaqeem par kare
                      Tu to tab bhi bakhshna chahta hai
                      Jab gunah banda maah-o-saal kare
                      Jabke Teri ik nemat ki qeemat chukai ja nahi sakti
                      Chahe ibadat koi hazaaron saal kare
                      Tu al-Raqib, al-Shahid, al-mumit, Tu hi al-muntaqim
                      Phir bhi chup chup ke gunha insaan kare
                      Tu al-afuww, al-adl, al-Ra'uf, Tu hi al-alim,
                      Phir bhi insaan maghferat ka na samaan kare
                      Tere Raham-o-karam ka koi mowazna nahi
                      Phir bhi insaan bura apna anjaam kare
                      Maa ki mumta ko satter (70) se zarrab de sako to de kar
                      Koi kuch pal soch-o-wakaar kare
                      Aik hi baat dil mein aayegi ke
                      Ke Allah kitna apne bande se peyar kare
                      Ae duniya ke Malik tere bhi kuch tawakeyaat hain
                      Lekin insaan ki taqdeer ke woh poore kare na kare
                      Tu phir bhi bhoolon bhatkon se ghafil nahi
                      Na jaane kab koi tauba astaghfaar aa kare
                      Tu Al-Hadi, al-Waliyy, al-Wadud, Tu hi al-Muqit
                      Is haqeeqat se kaise koi inkaar kare
                      Ik maa ho ke sochti hun mein
                      Tu kitna apne bande se peyar kare
                      ~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~



                      wa alaikum asalam wr wb
                      walaikum salam WR WB

                      MashAllahh...kitni khubsurat nazam likhi hai ap ne....

                      Magar jis insaan ko Tu ne apne hathon se banaya
                      Maa se satter gunna ziada uss se Tu peyar kare
                      SubhanAllah...waqi such baat haii...

                      or waqii yeh bohat hi achi baat hai ke ap ne bina schhol ay gay collage university ay gay...binaa ap ne perhna likhna seekha..yeh aik waqii bohat hi achi baat hai....Allah ap ko humesha khush rakhain Ameen...

                      share kerti rahaiye..:)




                      Comment


                      • #12
                        Re: Ik Maa Ho Ke Sochti Hoon Mein

                        buht acha lekha hai... khush rahien
                        u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                        :pr:

                        Comment


                        • #13
                          Re: Ik Maa Ho Ke Sochti Hoon Mein

                          Roohi jii
                          pegham per khushamdeed
                          aap ne apni nazm ke zareeay sabhi maaoN ki tarjumaani ki hai
                          Allah aap ki sab duaaoN ko qabooliat ka sharf bakhshe
                          aap ne paband nazm kehne ki koshish ki hai magar is meN kissi bahr ka lihaaz nahiN rakha
                          aisa kijye ke "shaayeri seekhiye" ke threads ka mutala kijye
                          wasalam
                          zmufti

                          Comment

                          Working...
                          X