Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Hamari Tasweer Aap Ka Kalaam: TAJ MAHAL

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Hamari Tasweer Aap Ka Kalaam: TAJ MAHAL

    Assalamo allaikum

    hamari tasweer aap ka kalaam ka doosra marhala hazir hai, aap sey guzarish ki jati hai keh is mein bhar'poor hissah lijiye...

    October key maheeney ki jo tasweer chuni gaee hai woh iskey muhabbat ki sab sey badi nishani hai. Sahir Ludhiyanvi ney aik alag soch mein issey socha aur kaha:

    Kisi shehanshah ney dolat ka sahara ley ker
    ham ghareebon ki muhabbat ka urraya hai mazzaq

    Ab aap key takhayyul ki bari hai... Don't hesitate :)
    Attached Files
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Hamari Tasweer Aap Ka Kalaam: TAJ MAHAL

    hmm very nice bhai

    inshallah zaroor hisa longi salam:

    Comment


    • #3
      Re: Hamari Tasweer Aap Ka Kalaam: TAJ MAHAL

      Mai'n bhi likhnay ki koshish karu'n gi.shayed kuch likh paau'n:)
      :roseENIGMA:rose

      Comment


      • #4
        Re: Hamari Tasweer Aap Ka Kalaam: TAJ MAHAL

        daykhoo aik i nsan ka pyar taj mahal
        mohbbat ka hay s hahkar tajmahal
        sabhi date mnany atay hain ab yaha
        unhy daykh kr rota hay zar-o-qtar tajmahal
        ay Hassan kitna maza aata hamain bhi
        agr hota Pakistan main bhi tayar tajmahal
        :embarasse
        Sahil ki khamoshi

        Comment


        • #5
          Re: Hamari Tasweer Aap Ka Kalaam: TAJ MAHAL

          Originally posted by sahil_ki_khamoshi
          daykhoo aik i nsan ka pyar taj mahal
          mohbbat ka hay s hahkar tajmahal
          sabhi date mnany atay hain ab yaha
          unhy daykh kr rota hay zar-o-qtar tajmahal
          ay Hassan kitna maza aata hamain bhi
          agr hota Pakistan main bhi tayar tajmahal
          :embarasse
          Sahil ki khamoshi
          Buhut khoob Hassan :thmbup:
          sigpic

          Comment


          • #6
            Re: Hamari Tasweer Aap Ka Kalaam: TAJ MAHAL

            Me koshish kero gi :insha: ek choti si :p
            sigpic

            Comment


            • #7
              Re: Hamari Tasweer Aap Ka Kalaam: TAJ MAHAL

              :roseTaaj Mahal:rose
              Khud aik ghazal...

              Ishq-e-Shah Jaha'n
              Jis ka tu hay nisha'n...
              Sang-e-mar'mar may chupee
              Ulfat ki har ik chabee...
              Karti hay sab say baya'n
              Ishq ki woh daasta'n...
              Sang-e-mar'mar kay tlay
              Hain khoon kay dhabbay chupay...
              Tairi sajaawat ka silah
              Tairi banaawat ka silah
              Dast-e-hunar katt kay mila...
              Tujh may chupa asraar hay
              Taira jo yeh andaaz hay
              Woh bas taira hi raaz hay...
              Ishq.o.mohabbat kay parwanay
              Hain bas tairay deewanay...
              Tairi mohabbat may sarshaar
              Matwaalay deewana waar
              Kartay hain taira deedar...
              Daitay hain tujh ko salaam
              Kartay hain tujh say kalaam...
              :rose Taaj Mahal:rose
              Itna to bata
              Tujh may zinda hay mohabbat
              Ya bana hay Maqbara...
              :rose Taaj Mahal:rose
              Tu baaqi rahay
              Ishq.o.mohabbat jaari rahay...
              :rose Taaj Mahal:rose
              Khud aik ghazal...
              (Háya)
              Last edited by hayaa_n; 16 October 2005, 18:23.
              :roseENIGMA:rose

              Comment


              • #8
                Re: Hamari Tasweer Aap Ka Kalaam: TAJ MAHAL

                wah kitny payary ilfaz they ky dil khud be khud agey prhny pr majboor hogaya.
                Taj Mehal ..Khud Aik Ghazal.
                From
                Hassan

                Comment


                • #9
                  Re: Hamari Tasweer Aap Ka Kalaam: TAJ MAHAL

                  Originally posted by sahil_ki_khamoshi
                  daykhoo aik i nsan ka pyar taj mahal
                  mohbbat ka hay s hahkar tajmahal
                  sabhi date mnany atay hain ab yaha
                  unhy daykh kr rota hay zar-o-qtar tajmahal
                  ay Hassan kitna maza aata hamain bhi
                  agr hota Pakistan main bhi tayar tajmahal
                  :embarasse
                  Sahil ki khamoshi
                  Hassan ji,,Aap nay mukhtasir magar umda likha hay.Bouhat khoob.Khush Rahiye:)
                  :roseENIGMA:rose

                  Comment


                  • #10
                    Re: Hamari Tasweer Aap Ka Kalaam: TAJ MAHAL

                    Originally posted by sahil_ki_khamoshi
                    wah kitny payary ilfaz they ky dil khud be khud agey prhny pr majboor hogaya.
                    Taj Mehal ..Khud Aik Ghazal.
                    From
                    Hassan
                    Hassan ji aap ki is pazeeraai k liye bouhat shukriya.Khush rahiye sada.:)
                    :roseENIGMA:rose

                    Comment


                    • #11
                      Re: Hamari Tasweer Aap Ka Kalaam: TAJ MAHAL

                      Hayya ji aap ki is hosla afzai ki bohat bohat shukrya.or next timr itna lkhoo ga kay aap ko odhora chorna pry ga.
                      .
                      kitny hi log tafreh kay dhokkay main dob gaey HASSAN
                      sahil bhi khamosh hay or lehroo ka shour bhi macha naihn
                      (next Time) InshAAllah
                      HASSAN

                      Comment


                      • #12
                        Re: Hamari Tasweer Aap Ka Kalaam: TAJ MAHAL

                        Originally posted by sahil_ki_khamoshi
                        Hayya ji aap ki is hosla afzai ki bohat bohat shukrya.or next timr itna lkhoo ga kay aap ko odhora chorna pry ga.
                        .
                        kitny hi log tafreh kay dhokkay main dob gaey HASSAN
                        sahil bhi khamosh hay or lehroo ka shour bhi macha naihn
                        (next Time) InshAAllah
                        HASSAN

                        Hassan ji mairi koshish hoti hay k koi kaam adhoora na choru'n..Insha Allah aap ka likha huwa poora read karu'n gi chahay aankhon kay aagay sitaaray ya andhaira hi kiyu'n na aa ja'aiy.:)
                        :roseENIGMA:rose

                        Comment


                        • #13
                          Re: Hamari Tasweer Aap Ka Kalaam: TAJ MAHAL

                          jii haya ji aapka mara likha hova read krny ka bohat shukrya........or Allah kry apki ye koshish pori ho ky koi bhi odhora kam na chorry....or main bhi koshish kroo gay kay apny klaam may raat ka or sehra ka bohat km ziker kroo..takay aapki ankhoo kay samny sitay or andehryaa na aey
                          Hassan

                          Comment


                          • #14
                            Re: Hamari Tasweer Aap Ka Kalaam: TAJ MAHAL

                            Hassan ji thanx for yr reply.aap ki tehreer ka wait hay.Khush rahiye.:)
                            :roseENIGMA:rose

                            Comment


                            • #15
                              Re: Hamari Tasweer Aap Ka Kalaam: TAJ MAHAL

                              anchal jee mohbbat agr baqi hy tu is main rony wali konsi bat hay??????

                              Comment

                              Working...
                              X