Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

dil e beqarar...

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • dil e beqarar...

    dil e beqarar... dil e beqarar... koi aaiga yaa aachuka hai...kion tanhayon main hansi goonjti hai... kion beqarai hai...koi masoom saa ehsas dil ko thaamey huye hai... yunhi be sabab chaltey chaltey...kuch bhi kertey huye...ik aawaaz sarapa gher leti hai... tumhari aankhen ...mujhey dekhti hon jese... meri aankhen tumhen dhoondney lagti hain ..aur... phir labon ko choo jaati hai muskaan... ye to khyaal thaaa.... kion beqarar rehta hai dil...jab tum paas hotey nahen ho.... ab ke sawan main aao ge to... rok loon gi har raah...jo tumhen mujh se door kar deti hai....rok loon gi tanhayon ke barrhtey qadam....aur tumhen khud se door janey nahen doon gi....dekh lenaa... ye beqarari e intezaar... dua ban ke ... arsh ko choo aaye gi...aur ham ik doojey se mil jaayen ge.... dil aur dharrkan ki terah...jism aur rooh ki teraah... phool aur tehni ki terah... khushbu aur muskaan ki teraaah....
    aankhen band hon ya khuli....main jaag rahi hoon yaa soyee hoon.... kion lagta hai tum hi tum merey paas ho...kion lagta hai...bin tumharey jee hi nahen sakti...kitney din beet gaye... aur bhi beet jaayen ge... ye dooriyaan mit jayen gi... aur har mausam ka intezaar ... har shaam ki thandak ... har bahar ki khushbu.... garmion ki raaten... sardion ki dhoop.... khizaan ke khush pattey.... dil ka har khiyaal ham mil ke banten ge ik doojey se... kitney haseen din hon ge...hab ham tum beqarari ki rasmon se aazaad ho jaayen ge... aik ho jaayen ge... ..



    by, ME ( A)
    Visit My Early PS Work
    You Are Welcome To Comment

  • #2
    Re: dil e beqarar...

    Originally posted by Aania
    rok loon gi tanhayon ke barrhtey qadam....aur tumhen khud se door janey nahen doon gi....dekh lenaa
    Kya aisa karna aasan hai? Agar aisa karna aasan hota to koi kisi ko apney sey door janey hi kyun deta. Jis ney jana ho woh chala jata hai, woh rukta nahin, aur rokney waley thak jatey hain. Magar musafir to musafir hai, sehraaey mein aaya raat basar ki aur subah hotey chal diya. Dil bhi to aik sehraey hai, woh aaya, kuchh din basa aur janey ka erada kar liya.... kon rok sakta hai? koi nahin... :rose
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • #3
      Re: dil e beqarar...

      Originally posted by Masood
      Kya aisa karna aasan hai? Agar aisa karna aasan hota to koi kisi ko apney sey door janey hi kyun deta. Jis ney jana ho woh chala jata hai, woh rukta nahin, aur rokney waley thak jatey hain. Magar musafir to musafir hai, sehraaey mein aaya raat basar ki aur subah hotey chal diya. Dil bhi to aik sehraey hai, woh aaya, kuchh din basa aur janey ka erada kar liya.... kon rok sakta hai? koi nahin... :rose
      jab bahrosa Khuda pe hai.... yaqeen khud ke piar pe hai..........to darna kis baat se.... aur jo chaley haatey hain....wo apney kabhi the hi nahen..........ham hi raasta bhatak gaye the....ITS TRUE........ mayoosi gunnah hi to hai........Wafa ki rahon main girna ho gaa... jo gir gae to sambhalna ho gaaa..... nobody else then my ownself ....can tell me the right way...to learn. .. to understand .... to know...n to get a brave heart.... love is a power.... power of trust.. ...
      dil ke khuwab to haseen hotey hain......... wafapon pe bharosa to kerna hi hai.... trust bhi luv ki terah hota hai......kerna nahen parrta ho jata hai....... there is no symbol of disappointment in my thoughts yet..... Rab se mango wo sabhi ko deta hai.... bas sometime ham hi kuch aiesa maang letey hain....jo hamarey liye hota nahen hai....isi liye to mil bhi jaaye to kho hi jata hai...phir ham dard ki raah pe nikal parrtey hain..... yahin se shroo aat hoti hai GHAM ki.......... Nibah bhi utna hi zaroori hai jitni wafa jitnaa piaar....


      is it more clear now...............


      oono

      dous

      tres


      quatro





      tell me if still hav question

      here... to tell u wots in ma mind....
      Visit My Early PS Work
      You Are Welcome To Comment

      Comment


      • #4
        Re: dil e beqarar...

        baad main reply kerta hun abi esy samjon ga

        Comment


        • #5
          Re: dil e beqarar...

          Acha likha hay likhti rha karein :)
          Allah

          Comment


          • #6
            Re: dil e beqarar...

            Originally posted by YAARAM
            Acha likha hay likhti rha karein :)

            soch len aaaaaaaaaaap ko parrhnaa parrh jaaye gaa..... :lol ....jesa bhi likhoon...... :tasali:
            Visit My Early PS Work
            You Are Welcome To Comment

            Comment


            • #7
              Re: dil e beqarar...

              Assalm-o-Alikum WR WB

              Very nice

              FeamanAllah
              Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
              Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga


              Comment


              • #8
                Re: dil e beqarar...

                Originally posted by khl
                baad main reply kerta hun abi esy samjon ga

                aap ki samajh main abhi tak nahen aayee kiaaaaa??????????? :slap::embarasse:tauba
                Visit My Early PS Work
                You Are Welcome To Comment

                Comment


                • #9
                  Re: dil e beqarar...

                  Originally posted by Bheegi-Palkain
                  Assalm-o-Alikum WR WB

                  Very nice

                  FeamanAllah
                  thnx dude......... :rose
                  Visit My Early PS Work
                  You Are Welcome To Comment

                  Comment


                  • #10
                    Re: dil e beqarar...

                    Phool Khilte hain baharon ka sama hota ha
                    piyar b isi musam main jawan hota ha
                    dill ki baton ko honto se nahin kehte
                    ye fasana to ankhon se bian hota ha:rose

                    Comment


                    • #11
                      Re: dil e beqarar...

                      nice ,

                      Comment

                      Working...
                      X