Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Pegham par merii pehlii Ghazal )3M)

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Pegham par merii pehlii Ghazal )3M)

    Originally posted by withlove View Post
    Tishna kami hi jab muqadar ho
    pyas bujhti hai kab samandar se

    wahhhhhhhh.. janab-e-mughal sahib.. kya hi kehnay.. pehli baar aap ko parhnay ka itefaq hua.. aur yaqeen janiye lutf aa gaya.. dhairo'n daad-o-tehseen hamari janib se bhi qabool kijiye..mazeed ka yaqeenan intezar rahay ga.. ab tak ka Behad Shukria..:rose

    wafa aur dua ke saath
    withlove :rose
    :jazak:
    buhat shukriya' piyaaray SaaHaib..
    ye'h sab aap kaa Husn-e-sukhan hay ..
    wagarana' man na danam failatun faailat.

    Comment


    • #17
      Re: Pegham par merii pehlii Ghazal )3M)

      Originally posted by Ali jee View Post
      waki bohat khob ghazal khe hey ...............

      buhat shukriya Alii. SaaHiab..

      Taalib-e-dua;
      miim miiim mughal

      Comment


      • #18
        Re: Pegham par merii pehlii Ghazal )3M)

        bohat zaberdastt janab...pehli koshih hi bohat hi zaberdast hai..:)
        keep sharingg...




        Comment


        • #19
          Re: Pegham par merii pehlii Ghazal )3M)

          very nice

          Comment


          • #20
            Re: Pegham par merii pehlii Ghazal )3M)

            mm mughal sahab adaab
            bohot khoob kalaam
            har sher khosurat
            khush rahin
            keep sharing..

            Comment


            • #21
              Re: Pegham par merii pehlii Ghazal )3M)

              wah wah wah bohat khoob maza aagay aik taweel arsay bad koi such main acha kalam parha sari ghazal hi shahkar aur maqta to lajwab hy bilkul aaj kal k halaat ki drusat akkasi.
              buj rahay hain mughal gharon k chiragh
              aik roshan khial k shar se
              :salam::salam::salam:
              ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

              Comment


              • #22
                Re: Pegham par merii pehlii Ghazal )3M)

                buhat umda lhika hai ap nay..

                Comment


                • #23
                  Re: Pegham par merii pehlii Ghazal )3M)

                  Originally posted by Lagan View Post
                  bohat zaberdastt janab...pehli koshih hi bohat hi zaberdast hai..:)
                  keep sharingg...
                  jnaab-e-lagan

                  aadaab-o-slaam-e-masnoon

                  pegham par merii pehlii Ghazal hay janaab .. naachiiz qariiban ArS'a 12 saal say she'r-osukhan say waabasta' hay. ab choonka'e maiN bazm maiN nayaa hooN
                  is liay mujhay issay samajhnay maiN diqqat paish aatii hay. maiN diigar buhat sii sites par mod. hooN .. is kay E'laava aik forum meraa apnaa bhii hay jiskaa maiN ADMIN hooN.. yahii vaja' hay ke' mujhay yahaAN aanay maiN waqt lag gyaa. aap mujhy link irssal kar diijiay maiN inshaa allah apnaa mukamal t'aaruf paish kardooNga .

                  niyaaz mand
                  miim miim mughal
                  (karachi-pakistan)

                  Comment


                  • #24
                    Re: Pegham par merii pehlii Ghazal )3M)

                    wah bhai tussi itthe wi ..ab ye mat kahiyega wah behen tussi itthe wi ha ha ha :khi:

                    waqaii aap ko yahan BHI dekh kar bahut bahut khushi hui ..meri jaanib se dili khushaamadeed :rose

                    aur khaaskar aapka kalaam paRhke to mazaa hi aa gaya..kitna umda likhte hain jo ke aap ki qadr ul uloomi ka jeeta jaagta saboot hai ..bahut khoob...dheron daad haazir hai..aayenda bhi yahan kuch na kuch share karte rahiyega....:)

                    Adaab!

                    Comment


                    • #25
                      Re: Pegham par merii pehlii Ghazal )3M)

                      buhat shukria dosto. merii id hii kaam nahaii kar rahii thi..
                      inshaa allah ab mraaslat rahy gii ..wasslaam

                      Comment


                      • #26
                        Re: Pegham par merii pehlii Ghazal )3M)

                        buhat shukria shammu behnaa..

                        Comment


                        • #27
                          Re: Pegham par merii pehlii Ghazal )3M)

                          Originally posted by م۔م۔مغل View Post
                          buhat shukria dosto. merii id hii kaam nahaii kar rahii thi..
                          inshaa allah ab mraaslat rahy gii ..wasslaam

                          asslmaoalikum mughal bhaiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii pachanyaaaaaaaaaaa ?????:fly:
                          شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                          Comment


                          • #28
                            Re: Pegham par merii pehlii Ghazal )3M)

                            Wah Miim Miim Mughal sahab, kia baat hay sach main itna khoobsurat kalaam bohat arsay baad paRhna naseeb hua, kia andaz-e-bayan hay, iss ghazal main sab kuch tou paish kar dia aap nay, apni daastan-e-hayaat kay saath saath halat-e-hazra ka tabsura, wah kamal ka likha hay, har aik shaair apnay andar aik mukammal kahani liye baitha hay, bas uss ghour-O-fikar ki zarorat hay jo aap nay yeh likhtay huay ki... bohat qareeb say aap nay zindagi aur halaat ka mushahida kia hay aur waqayi nihat saadgi aur pooray insaaf kay saath aap nay apnay alfaz qalamband kiye hain...

                            Apnay khoosburat andaz-e-bayan aur khoobsurat soch say humain mustafeed kartay rahain, hum jaisay naaqis aqal log iss say bohat kuch seekhnay aur samajhnay ki koshish kartay hain...

                            Khush rahyeh :rose



                            Originally posted by م۔م۔مغل View Post


                            aap aHbaab kii raa'ay kaa intiZaar rahy gaa.

                            niyaaz mand

                            miim miim mughal
                            sigpic

                            Comment


                            • #29
                              Re: Pegham par merii pehlii Ghazal )3M)

                              Assalam o Alaikum wr wb...

                              Bohat umdah andaz-e-bayan hai aap ka mashAllah se...
                              Pahli baar hi itna khoobsorat likha hai aap ne kay tareef kay lian alfaz hi nahi hain...
                              Likhtay rahain aur apna khoobsorat kalam hum se share kartay rahain...
                              Khush rahain...


                              میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


                              میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

                              Comment

                              Working...
                              X