zindagi se kho janey ko
dil chahta hai
sab mein tanha reh to gayee hoon...
phir bhi aas zinda hai...
ab to koi intezaar..
koi pyaar nahen...
khud se hi door janey ko
dil chahta hai...
dil ajab gham saath le ke zinda hai...
kab se keh rahi hoon ...
chorr do ye dori aas ki...
phir bhi bewajah jeeney ko
dil chahta hai
har gharri koi yaad sataye..
har pal chahat toot jaye...
ab to aankhen band ho jayen..
dil chahta hai...
meri dharrkan jese uljhan..
mere sapney..korey kaghaz..
meri kahani...dukhi fasana..
door jangal..mein bas jaoon
dil chahta hai...
aankh se tootey na tootey
aansoo-n ki ye larri...
thak gayee hoon ..
rotey rotey...
koi aa kar thaam le bas...
dil chahta hai...
tum se doori seh to li hai...
apney aansoo is dunya se
chupa to lliye hein...
phir bhi tum ko
aik pal dekhney ko
dil chata hai...
kon samjhey aur kion samjhey..
har dil ki aarzoo anokhi...
har dil ki manzil apni..
kion uljhi hoon..koi na janey..
rotey rotey mar hi jaoon...
dil chahta hai...
haath uthaoon ..
kis ko mangoon...
sab ki apni apni dagar hai..
ab na mangoon koi Dua ...ye
dil chahta hai...
kion lagta hai mere sapney
mere armaan..bemaa-ni hein...
koi na samjhey mere dil ko..
kisi se uljhoon...toot ke ro doon...
Dil Chahta Hai....!!!!
by, Me (A)
Comment