Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Haya n ki ghazal URDU mein

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Haya n ki ghazal URDU mein

    Haya aap ki ijazat liye bagher hi aap ki ghazal ko urdu inpage mein likh ker bhej rhi hoon, ma'azrat qabool kijiye ga:rose aur ijazat dijiye ga k aap ka deeger kalaam bhi urdu mein post ker skti hoon k nhi? :)

    Ham chiragho'n ki tarha rouz jala kartay hai'n
    Phir bhi woh dil kay andhairo'n ka gila kartay hai'n
    :rose
    Marna aasa'n nazar aata hay hamai'n jeenay say
    Jaanay kis tarha yaha'n loge jiyaa kartay hai'n
    :rose
    Ham banaatay hai'n khayalaat mai'n khushiyo'n kay maihal
    Gham kay toofaa'n unhai'n kiyu'n tour diya kartay hai'n
    :rose
    Jab tairi yaad mai'n namm houti hain aankhai'n mairi
    Baihtay dariya mairay ashko'n mai'n mila kartay hai'n
    :rose

    Jab bhi chaahai'n tujhay ham daikh liya kartay hai'n
    :rose
    Attached Files

  • #2
    Re: Haya n ki ghazal URDU mein

    Assalam.o.aleikum
    Mushan ji naiki aur pooch pooch:)mujhay to computer ka ziyada kuch aata hi nahi'n hay bas likh laiti hu'n woh hi ghaneemat hay.
    aap nay mairay liye itni maihnat ki aur time nikaala dil say shukar guzaar hu'n.
    aap agar maira likha huwa urdu mai'n likh sakti hai'n to is say barh kay aur kiya gift mairay liye ho sakta hay kiyu'n kay mai'n roman urdu mai'n hi likh sakti hu'n.
    aap ko bouhat kaam karna parey ga.
    mai'n dil say shukar guzaar hu'n.aur aap maazrat kar rahi hai'n jab kay yeh to aap nay woh kaam kiya hay jo mai'n soch bhi nahi sakti thi.

    Muskan ji urdu mai'n likhtay huway 2 misro'n mai'n lafz kuch idher say udher ho ga'aiy hain. kiya aap un'ko bhi theek kar sakti hai'n? mashkoor rahu'n gi.:)
    urdu mai'n likhi tehreer ka apna hi aik andaaz houta hay jo aankho'n ko bhala lagta hay.
    Main aap ka shukriya kis tarha adaa karu'n?:rose :rose :rose
    Last edited by hayaa_n; 22 September 2005, 18:07.
    :roseENIGMA:rose

    Comment


    • #3
      Re: Haya n ki ghazal URDU mein

      hmm very nice :x

      Comment


      • #4
        Re: Haya n ki ghazal URDU mein

        Originally posted by hayaa_n
        Main aap ka shukriya kis tarha adaa karu'n?

        Haya tumhein kisi ka shukriyah ada karney ki zaroorat nahin aur yeh main muskan ki janib sey bhi kah rahah hoon. Kyun keh tum tumhari sochein, tumhari alfaaz bohat pyarey hain. Allah tumheiin hamesha achha likhney ki tofeeq ata farmaein aur bohat khush raho :) ta
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • #5
          Re: Haya n ki ghazal URDU mein

          buhat khaoob

          Comment


          • #6
            Re: Haya n ki ghazal URDU mein

            Assalam.o.aleikum
            Sheem Ji
            Khl Ji
            ta ji:)

            Itni ziyada pazeeraai kay liye Shee ji,Khl Ji bouhat mamnoon rahu'n gi.:)
            ok ta ji mai'n Muskan ji ka shukriya adaa nahi'n karti aap hi un ko mairi taraf say kaih dijiye ga.aap jaisay umda writer n poet k yeh alfaaz maira howsla barha daitay hai'n k aap ki tehreerain to bouhat showq say parhi jaati hai'n.aap maira likha read kartay hain yeh hi aizaaz ki baat hay mairay liye.aur aap ki duao'n kay liye to mai'n kuch bhi kaih hi nahi sakoo'n gi.khush rahiye.

            Urdu main likhtay huway 2 misro'n mai'n lafz zara idher say udher ho ga'aiy hai'n kiya woh bhi theek kiye ja saktay hai'n? agar Muskan ji ko mushkil paish na aa'aiy to woh theek kardai'n warna yu'n hi raihnay dijiye.:)
            :roseENIGMA:rose

            Comment


            • #7
              Re: Haya n ki ghazal URDU mein

              Bohat umdah khayalat ki malik hain haya aap......humare bhatke hoe khayalat jab milte hian to sher ki takhleeq hoti hay.....aap ki soch ki parwaz bohat buland hay.:).....aur Muskan nice work :)
              Allah

              Comment


              • #8
                Re: Haya n ki ghazal URDU mein

                Originally posted by hayaa_n
                Assalam.o.aleikum
                Sheem Ji
                Khl Ji
                ta ji:)

                Itni ziyada pazeeraai kay liye Shee ji,Khl Ji bouhat mamnoon rahu'n gi.:)
                ok ta ji mai'n Muskan ji ka shukriya adaa nahi'n karti aap hi un ko mairi taraf say kaih dijiye ga.aap jaisay umda writer n poet k yeh alfaaz maira howsla barha daitay hai'n k aap ki tehreerain to bouhat showq say parhi jaati hai'n.aap maira likha read kartay hain yeh hi aizaaz ki baat hay mairay liye.aur aap ki duao'n kay liye to mai'n kuch bhi kaih hi nahi sakoo'n gi.khush rahiye.

                Urdu main likhtay huway 2 misro'n mai'n lafz zara idher say udher ho ga'aiy hai'n kiya woh bhi theek kiye ja saktay hai'n? agar Muskan ji ko mushkil paish na aa'aiy to woh theek kardai'n warna yu'n hi raihnay dijiye.:)


                Array HAYA JI aap really mein mujhey sharmindah ker rhi hein, shukriya ki bilkul bhi zarorat nhi hey. Aur inshallah yehan per aap ne jitna bhi klaam share kiya hey mein koshish keroon gi k wo Urdu meinker k aik hi thread mein ikatha kar doon, ta k parhnay walay kisi tehreer se mehroom nah reh jayein.
                Aap mashaAllah boht acha likhti hein, Masood akser aap ka zikr krtay hein, mein bhi aap ki har tehreer ko shouq se perhti hoon.
                Aur mein jo alfaz IDHER se ODHER ho gaye hein, unn ko dhoondh ker abhi apni jagah per wapas rakh deti hoon:), agar mujhey woh alfaz nhi milay to plz aap PM mein unhein bhej dijiye, mein taseeh ker doon gi.
                Humesha khush rahiye, likhti rahiye aur humaray sath share kerti rahiye, aap ka likhna humaray liye bahes e mussarat hey.:)

                Comment


                • #9
                  Re: Haya n ki ghazal URDU mein

                  Haya Ji:rose , idher odher ho janay walay alfaz apnay asal thikanay per a gaye hein:). Wo pata kia kall zara ujlat mein thi iss liye alfaz idher odher khisek gaye aur mujhye pata hi nhi chala tha, InshaAllah aaindah dhyan rakhoon gi.

                  Comment


                  • #10
                    Re: Haya n ki ghazal URDU mein

                    Originally posted by YAARAM
                    Bohat umdah khayalat ki malik hain haya aap......humare bhatke hoe khayalat jab milte hian to sher ki takhleeq hoti hay.....aap ki soch ki parwaz bohat buland hay.:).....aur Muskan nice work :)
                    Assalam.o.aleikum
                    aap sab ki itni tareef aur duao'n say paishaani arq'aalood ho gaai aur may nay again apna likha huwa read kiya but mujhay woh sab kuch nazar nahi'n aaya jis tarha k aap sab mairay likhay ko saraah'tay hai'n.
                    bouhat shukriya qubool kijiye mairi taraf say.khush rahiye:)
                    :roseENIGMA:rose

                    Comment


                    • #11
                      Re: Haya n ki ghazal URDU mein

                      Assalam.o.Aleikum
                      Muskan ji:)
                      Aap nay itna sab kiya hay aur mazeed irada bhi rakhti hai'n is k liye mai'n waaqai aap ki bouhat shukar guzaar hu'n.mairi to abhi kam hi posts hai'n aur aap sab nay mujhay jo maan diya hay us kay liye may baad Khuda kay bouhat shukar guzaar hu'n kay aap sab bouhat nice hai'n aur qaabil-e-izzat bhi mairay liye kay mai'n to abhi har tarha bouhat hi Junior hu'n aur is sab ki mustahiq nahi'n thi jitna sab aap logo'n nay mujhay saraaha hay.kis tarha bhala shukriya adaa na karu'n?ji haa'n ghazal mai'n mai'n nay read kar liya hay k aap nay us ko sahi kar diya hay. yeh lijiye duao'n bhara:rose khush rahiye.:rose
                      :roseENIGMA:rose

                      Comment


                      • #12
                        Re: Haya n ki ghazal URDU mein

                        Assalaam o alekum,



                        Muskaan aapnien bahoot achchaa kiyaa jo haya sahiba ki ghazloon ko inpage mien humaare saamnien pesh kernien kaa beera uthaayaa hai :) waise to main shuru se hi haya ji kalam perhtaa aayaa hun jabse yeh yehaan aayi hain aur jab jab inke kalam pernien kaa sharf huaa tab tab ek ehsaas huaa ke waaqaee yeh haya ji ke alfaz hain jo humaare diloon koo choo jaate hain kabhi yeh hunsaati hain to kabhi rulaa bhi deti hain :) jaise ab in ashaar ko dekhien kitnaa dard hai issmien

                        Ham chiragho'n ki tarha rouz jala kartay hai'n
                        Phir bhi woh dil kay andhairo'n ka gila kartay hai'n

                        Marna aasa'n nazar aata hay hamai'n jeenay say
                        Jaanay kis tarha yaha'n log jiyaa kartay hai'n

                        humaari janib se hala ji ko iss kavish ke likhnien aur huaamre saath share kernien kaa bahoot bahoot shukriyaa aayindaa bhi intezaar rahegaa khush rahien aap donoon
                        :tang: RISK IS MY BUSINESS

                        DANGER IS MY GAME

                        DONT PLAY WITH ME
                        BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

                        Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

                        Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

                        Comment


                        • #13
                          Re: Haya n ki ghazal URDU mein

                          Assalam.o.Alaikum
                          Khurram shaikh ji yaqeen kijiye woh alfaaz nahi'n kay mai'n aap ka shukriya ada karu'n.
                          ta ji nay is forum ka mujhay kaha tha aur 1st day hi mujhay yeh forum bouhat acha laga tha but mai'n ziyaada aa'nahi'n paai aur sab say ziyaada afsos is baat ka hay k mai'n kisi ko read nahi'n kar paa rahi aur bas post likhtay hi DC karna hota hay jab kay yeh mairi na'insaafi hay k mai'n kisi ko reply nahi'n likh paa rahi.jab read hi nahi'n kar pati to reply bhala kis tarha likhu'n? is liye mujhay bouhat sharmindigi feel hoti hay aur acha feel nahi'n karti but mairi majboori hay k mujhay Dc karna hota hay.umeed hay k mairi maazrat qubool kar lai'n gay.Khush rahiye
                          :roseENIGMA:rose

                          Comment


                          • #14
                            Re: Haya n ki ghazal URDU mein

                            Originally posted by hayaa_n
                            Assalam.o.aleikum
                            aap sab ki itni tareef aur duao'n say paishaani arq'aalood ho gaai aur may nay again apna likha huwa read kiya but mujhay woh sab kuch nazar nahi'n aaya jis tarha k aap sab mairay likhay ko saraah'tay hai'n.
                            bouhat shukriya qubool kijiye mairi taraf say.khush rahiye:)
                            jo kisi ke dil ki baat kahe .....asal shayer whai hota hay jee.....:) no thnx :)
                            Allah

                            Comment


                            • #15
                              Re: Haya n ki ghazal URDU mein

                              Assalam.o.Alaikum

                              Yaaramm Ji aap kay umda reply ko read kar kay mujhay apna hi aik shair yaad aa'gaya.

                              Mai'n shaair nahi'n hu'n Khuda ki qasam
                              Yeh ashaar hai'n us kay bakhshay hu'aiy

                              Bouhat shukriya.Khush rahiye:)
                              :roseENIGMA:rose

                              Comment

                              Working...
                              X