Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Tarahi Mushaira # 2

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Tarahi Mushaira # 2


    Misra-e-Tarah: tum na jaao! bahar ke din heN ( Saghar siddiqui)
    afaeel: faailatun...mufailun.....felun
    radeef: bahar ke din heN
    qawafi: aao, jaao, sunaao, dikhaao, etc
    last date: 25 Oct 2007
    Result: 1st Nov Inshallah
    Last edited by zmufti; 3 October 2007, 02:25.

  • #2
    Re: Tarahi Mushaira # 2

    zarqa ji hum doosrey tarahi mushairey may shirkat k liyee tayyar hain agar aap ki ijaazat ho tho!thmbup:

    Comment


    • #3
      Re: Tarahi Mushaira # 2

      Originally posted by Mujahid Khan View Post
      zarqa ji hum doosrey tarahi mushairey may shirkat k liyee tayyar hain agar aap ki ijaazat ho tho!thmbup:
      mujahid saheb
      is ke liye aap ko ijazat ki zaroorat nahiN

      Comment


      • #4
        Re: Tarahi Mushaira # 2

        Comment


        • #5
          Re: Tarahi Mushaira # 2

          Mujahid saheb
          mushire meN shirkat ke liye aap ki mamnoon huuN
          agar ghazal roman meN bhee likh deN to tabsare meN saholat ho gi
          regards
          zmufti

          Comment


          • #6
            Re: Tarahi Mushaira # 2

            ghum bhulaao bahaar kay din hai'n
            tum na jaao bahar kay din hai'n

            saari dunyaa nikhur gai daikho
            rang laao bahaar kay din hai'n

            apni aankho'n se tum pila daina
            jaam uthaao bahaar kay din hai'n

            ghum ki dunya meri badal dho tum
            muskuraao bahar kay din hai'n

            haal-i-dil poochh muth mera saaqi
            tum pilaao bahar kay din hai'n

            hosh may mujh ko abb na laana tum
            muth jagaao bahar kay din hai'n

            saoz seenay may apne bhar dho tum
            dard laao bahar kay din hai'n

            dard abb ho gaya siwa maira
            muth dukhaao bahar kay din hai'n

            main teray ishq may diwaana hoo'n
            sung giraao bahar kay din hai'n

            husn taira meray he dum say hai
            dum lagaao bahar kay din hai'n

            Comment


            • #7
              Re: Tarahi Mushaira # 2

              Misra-e-Tarah: tum na jaao! bahar ke din heN ( Saghar siddiqui)
              afaeel: faailatun...mufailun.....felun
              radeef: bahar ke din heN
              qawafi: aao, jaao, sunaao, dikhaao, etc
              last date: 25 Oct 2007
              Result: 1st Nov Inshallah
              abhi tak yahi chal raha hai?

              i mean november 2007 is gone.. this is january 2008...

              Comment

              Working...
              X