ay dil-e-nadaan itni dil-lagi achi nahi
kaanch hey tu, sung se teri dosti achi nahi
kon hey aysa jo tera dard samjhay? is lye,
tujh sey kehta hoon k aankhon mein nami achi nahi
her sitam qudrat ka han.s ker jhale lena jaan per
aajzi to hey, mager yeh aajzi achi nahi
dard ki shiddat sey hey anjaan mera charah-ger
is liye kehta hey yeh, k meh-kashi achi nahi
jub kisi ko yaad kerta hoon to aa jata hey tu
is qader baad-e-saba teri mukhbari achi nahi
jis bhi raah per koi chalta hey, chalney dey usy
rah-zanon ki bheer mein, reh-bari achi nahi
tu khuda hey, tu kya jaany ga hum insaanon ka ghum
chup! dil-e-gustaakh! rub ki hum-seri achi nahi
regards;
majid shah:rose

Comment