aik aur koshish...koi ghalti ho tau darguzar kijiyay ga..pointout ker k.:rose
chand ki madham aahat bhi ab
tanhayee ka saman liay ho jaisay
zindagi is tor nibh rahi hay
koi khud sakhta saza ho jaisay
dil ki umang o umeed per bhi
chup ka quful para ho jaisay
chahar soo bahar ki rimjhim
ehsaas phir bhi patjhar ho jaisay
aankh youn barasti hay hur pal
sawan rut main jhari ho jaisay
chand ki madham aahat bhi ab
tanhayee ka saman liay ho jaisay
zindagi is tor nibh rahi hay
koi khud sakhta saza ho jaisay
dil ki umang o umeed per bhi
chup ka quful para ho jaisay
chahar soo bahar ki rimjhim
ehsaas phir bhi patjhar ho jaisay
aankh youn barasti hay hur pal
sawan rut main jhari ho jaisay
Comment