Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

My Own

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: My Own

    thnx everybody
    arey sad to koi bhi nahen hai :kood:
    wo to topic ka taqaza kabhi sad kabhi happy :phool:
    u know wot i mean :eye:
    shairy to dosti hai dil se ya ehwal se ya samjhota hai khud ke jeeney se :wave
    Visit My Early PS Work
    You Are Welcome To Comment

    Comment


    • #17
      Re: My Own

      Originally posted by Aania
      thnx everybody

      arey sad to koi bhi nahen hai :kood:
      wo to topic ka taqaza kabhi sad kabhi happy :phool:
      u know wot i mean :eye:
      shairy to dosti hai dil se ya ehwal se ya samjhota hai khud ke jeeney se :wave


      Bohot khoob arz kiya hai :salam: :rose

      Comment


      • #18
        Re: My Own

        Originally posted by :Qassim:
        Bohot khoob arz kiya hai :salam: :rose
        thnx ji :rose
        Visit My Early PS Work
        You Are Welcome To Comment

        Comment


        • #19
          Re: My Own

          jis teraf haath barrhaoon
          koi sapna sa thaa
          kitini bewajhey guzri
          hai zindagi ab tak
          jis simt murr ke dekhoon
          koi khyaal saa thaa
          roz banti hai nayee dunya
          aankhon main sapnon ki
          roz bikhar jatey hen armaan
          dil beqarar sa thaa
          tujh ko mehsoos na huii
          merey dil ki chubhan
          meri aankhon mein dard ka
          toofan saa thaa...
          murr ke dekho ge kabhi
          yaad meri aaye to
          phir zindagi kahey gi
          koi khuwab sa thaa..
          kitney bemaani se rishton mein
          ulajh jati hoon...
          kachey rangon se jazeerey
          koi azaab saa thaa..
          waqt be waqt teri yaad gher leti hai
          har pal zabt e gham jesey
          koi sawaal saa thaa...
          tujh ko dhoondoon gi ab nahen
          dharrkan ne kaha
          phir palat ke wohi raah dekhi
          jis pe tera ehsas saa thaa..
          jis teraf haath barrhaoon
          koi sapna sa thaa

          by, ME ( A)
          Visit My Early PS Work
          You Are Welcome To Comment

          Comment


          • #20
            Re: My Own

            Tum se tumhen chah ker main uns keroon
            tum se tumhen maang ker yaqeen keroon

            In dermyaan raston ki dor par....
            Haqeeqat e Zindagi ban kar safar keroon...



            by, me A
            Visit My Early PS Work
            You Are Welcome To Comment

            Comment


            • #21
              Re: My Own

              Khuda Karey Koi Mujh Sa to Akela Na Ho Kabhi

              ye zindagi phool jesi hai...pal pal har pal mehakti si
              is mein kho jao ...har aarzoo ehsas zinda ho

              Main ne mangi hi nahen thee khushi
              aisa to log kehtey hein...mere seeney mein bhi dil hai
              meri aankhen bhi to tersen..kisko dhoondoon..koi nahen hai...

              Main ne chaha hi nahen wo mujh se juda ho
              meri dharrkan uski khushiyaan...rok bhi kese leti...
              ye to sach hai aaj bhi pyaar hai...bas tum nahen ho...

              Khuda karey dunya waley sadaa hi khush rahen...
              mera daman...mere aansoo...koi na dekhey kabhi....
              be-noor hoti in aankhon ne dekhna hi kya hai....


              khuda karey ye mehfilen khushiyon ki jagmagati rahen...
              har dil har pal muskurata rahey...pyaar karey....
              aarzoo-on ki sej sajti rahey...ham hon na hon!

              by, me ( A )
              Visit My Early PS Work
              You Are Welcome To Comment

              Comment


              • #22
                Re: My Own


                sikha do mujhey...
                phir se hansna aie hawa..
                yaad aatey hain din
                bachpan ke is terah..
                kabhi khoye nahen wo
                paas merey hon jese

                ye kehtey huye se...
                mujh ko bhi yaad kerti hain
                phool kalyaan...
                wo sard shamon main
                lehaf main karna mastiyaan
                aur barron ki dant
                pe der tak rotey rehnaa
                subh hoti hai..
                aansoo to koi nahen..

                aur mom ka dher sara piar kernaa...
                phir school jana hai..
                bag tayaar ker ke...
                dhun hai wapsi pe ..
                koi sherarat kerney ki
                aaj kis ka tiffen chupaoon,
                aapi ka bag cherroon..
                yaa bhaii ke sath chat pe
                patang urraney jaoon...
                mom ko pata chaley ga
                to wo dad ko bateyn gi..
                phir se daant khaani ho gi...

                aur mana'ney ko taoo, mamoon
                chocolates layen ge..


                kese bhool jaoon ..
                kitni piyari si zindagi thee..
                har lamha har har simt hi khushi thee
                thorra thorra ghussa aur dher sara piaar
                kis qadar kis qadar har simt hi ayaan thaa..
                ...
                kion laut ker nahen aatey
                merey paas phir se
                bachpan ke din
                bachpan ki raaten..
                narm garm dhoop
                thandi thandi shamen
                kese bhool jaoon
                kese bhool jaooon...
                sab kuch thaa merey koi kami nahen thee..
                koi kami nahen thee sach main...



                by, me ( A)
                Visit My Early PS Work
                You Are Welcome To Comment

                Comment


                • #23
                  Re: My Own

                  kaash......!

                  kaash main aisey haseen hoty
                  ke dunya tak-ti....
                  wo mujhey chorr ker jatey ...
                  to kabhi yaad to kertey....

                  kaash dil aisaa haseen hota
                  ke dunya kehti....
                  yehi wo dil hai...
                  jis ki aarzoo hamen bhi hai..

                  kaash honton pe masumiyat
                  aisee hoti...
                  ke jab muskuratey lab to ...
                  sab ke dil khil uth-tey....

                  kaash aanchal na kabhi gham ka
                  yun orrha hota....
                  ke yunhi koi mil jaata...
                  to sadaa hi miltaa...

                  kaash qismat ke bhanwar...
                  mujhse na yun uljhey hotey...
                  main bhi ik pal ik gharri...
                  khul ke kabhi hans paati....

                  kaash aankhon ko meri kuch to
                  muskurana aata...
                  koi dekhey to koi aansoo...
                  na yun chalak uth-ta...

                  kaash logon se mili hoti mein
                  khushion si baharon mein...
                  to shayed dil na mera
                  yun khizaan ki manind hota....

                  kaash main aisey haseen hoty
                  ke dunya tak-ti....
                  wo mujhey chorr ker jatey ...
                  to kabhi yaad to kertey naa....!!!

                  by, me (A)
                  Visit My Early PS Work
                  You Are Welcome To Comment

                  Comment


                  • #24
                    Re: My Own

                    Zindagi sehraa ki manind
                    aansooo sookhi ret se
                    hont khushk pathar se huye hain
                    haan tumhari yaad main...
                    is mausam ke sab hi badal
                    aag barsaney lagey hain
                    haan tum aas paas nahen ho
                    kesey sametoon bikhrey huye
                    sookhey huye patton jesi zindagi ke palon ko
                    jis main tum hi bas chukey ho...
                    aur doosra koi naam nahen hai...
                    is se pehley ke aankhen khooon roney lagen....
                    ye badan khushk reit sa honey lagey..
                    aur rooh ka har saaz
                    thalon main dafn honey lage..
                    TUM AA JAO...
                    TUM AA JAO...


                    By, ME (A)
                    Visit My Early PS Work
                    You Are Welcome To Comment

                    Comment


                    • #25
                      Re: My Own

                      Assalam-0-Alaikom:rose

                      superb collection :phool:
                      For New Designers
                      وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                      Comment


                      • #26
                        Re: My Own

                        Assalam-o-Alaikum :salam:

                        Aania Sis aik sa barh ka aik hai :clap: :clap: :clap:

                        Aap to waqai bohat achi poetess hain lagta hai aap sa classes laini chahyen :)

                        Thanxxx for shairing :rose :rose :rose

                        Comment


                        • #27
                          Re: My Own

                          BeauitFull
                          sare he ek sy barh ker ek hain ..:phool:

                          Comment


                          • #28
                            Re: My Own

                            WOW WOW SAB HI BHT ACHE HA :phool:

                            keep it up aniii :x
                            Bhulana Sakoo Gay Mujhe Bhool Kar Tum
                            Mein Aksar Tumhein Yaad Ata Rahonga
                            Kabhi Khuwab Ban Kar Kabhi Yaad Ban Kar
                            Mein Neendein Tumhari Churata Rahonga

                            Comment


                            • #29
                              Re: My Own

                              aap sab ke pasand kerney kaa be-had shukryaa... bohat bohat khush rahye....
                              Visit My Early PS Work
                              You Are Welcome To Comment

                              Comment


                              • #30
                                Re: My Own

                                Bohth Khoob Aina Main Yeh par kar Bohth khsuh howa Very Nice Thanks For Shairing.
                                YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                                Comment

                                Working...
                                X