uss ki ik ik ada pe jaan fida hoti hai
janay yeh saza, ya mohabbat ki jaza hoti hai
uski muskrahat se subah kalyan khilti hai
aur lab-e-marg k liye hansi jan-fiza hoti hai
kabhi kisi gulshan main dedaar ho to kiya khoob
phoolon pe bahar aur mehkti fiza hoti hai
surf ki hai qudrat ne us pe apni kul sanai
jheel jaisi ankhain aur unmain haya hoti hai
jahan qudrat ne husan dainay main dikhayee fayyazi
wahan sangdili ki ataa main b intiha hoti hai
zindagi main hamari ik b khushi bardast nhi unhain
aur murg pe hamaray un ki hansi baja hoti hai
roz jeetay hain roz mertay hai deedar k liye
kiya haalt-e-ushaq yhi ya khuda hoti hai
kabhi jabeen pe shikan nazar jo aa jaye kahin
aisa lagta hai k roh jism se juda hoti hai
ik tamanna ki to yaaron ne batai uski qeemat
zindagi tayag do to muskrahat ataa hoti hai
hamain dedaar main palkain jhapkina b nhi pasand
k yeh tarz to mehboob se gila hoti hai
hum ne wafa k intizar main tayag de zindagi
aur unhain pata he nhi kiya yeh bala hoti hai
ab satanay k naye tareeqay dhoonday hain usne
mulaqat hoti hai jab to hathon pe hina hoti hai
rah-e-ishq main ghabra b gaye itni jaldi
zara theher, abi wasal-e-yar ki nida hoti hai
khud kiya raaye dain apni shayeri pe farhad
char soo sukhan pe hamaray wah wah hoti hai.
fakhar zaman shah farhad.

Comment