Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ye haqeeqat tha k afsana-e-rusvaii thi...!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Ye haqeeqat tha k afsana-e-rusvaii thi...!

    Adaab

    Meray hathoun ki lakeeroun mai jo gehrayi thi ..
    meray mathay pe jo lali say lakeer ayi thi ...
    meray gaaloun pe jo muskaan ki angrayi thi...
    ye haqeeqat tha k afsana-e-rusvaii thi...


    meri janib jo kaba ayi thi lehrayi thi..
    sansoun mai gholay howay khushbo-e-gul layi thi..
    anhk ki chot pe sapnaoun ki jo parchayii thi..
    ye haqeeqat tha k afsana-e-rusvaii thi...



    Phir naye rang mai us shaks ki yaad ayi thi...
    us ki ankhoun mai bhi milnay ki kasaak chayi thi...
    dhoondti uski nazar pass meray ayii thii.....
    ye haqeeqat tha k afsana-e-rusvaii thi...



    Hum mai ek pal ki bhi doori na kabhi ayii thi...
    jenay marnay ki kasam khayi thi ...nibahayi thi..
    haye kya rabt tha ! kya khoob shanasayi thi ....
    ye haqeeqat tha k afsana-e-rusvaii thi...

  • #2
    Re: Ye haqeeqat tha k afsana-e-rusvaii thi...!

    Buhat khoob :rose


    khush rahyeah :)
    Zindagi Thak Gaye ..!!

    Comment


    • #3
      Re: Ye haqeeqat tha k afsana-e-rusvaii thi...!

      zabardast :)
      Allah

      Comment


      • #4
        Re: Ye haqeeqat tha k afsana-e-rusvaii thi...!

        Originally posted by gumnaaaam
        Adaab


        Phir naye rang mai us shaks ki yaad ayi thi...
        us ki ankhoun mai bhi milnay ki kasaak chayi thi...
        dhoondti uski nazar pass meray ayii thii.....
        ye haqeeqat tha k afsana-e-rusvaii thi...



        Hum mai ek pal ki bhi doori na kabhi ayii thi...
        jenay marnay ki kasam khayi thi ...nibahayi thi..
        haye kya rabt tha ! kya khoob shanasayi thi ....
        ye haqeeqat tha k afsana-e-rusvaii thi...

        Assalaam o alekum,


        woooooooooooow yaani ke tum bhi shaeraa ban hi gayi aakhir bahooot khoob zainab bahooot achchey likhti raho aur hum sabse share kerti raho daad qabool karoo khush raho
        :tang: RISK IS MY BUSINESS

        DANGER IS MY GAME

        DONT PLAY WITH ME
        BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

        Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

        Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

        Comment


        • #5
          Re: Ye haqeeqat tha k afsana-e-rusvaii thi...!

          Adaab

          khuvwahish..yaaraam aur khuram ji....

          hum aap sab k tah-e-dil say sukr guzar hain k aap logon nay hamaray kalam ko parha aur isay saraha :)

          Dua'go
          [ZA]

          Comment


          • #6
            Re: Ye haqeeqat tha k afsana-e-rusvaii thi...!

            wah wah kiya sharing hai aapki...

            Comment


            • #7
              Re: Ye haqeeqat tha k afsana-e-rusvaii thi...!

              Bohat khoob - jaari rakhein :)
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment


              • #8
                Re: Ye haqeeqat tha k afsana-e-rusvaii thi...!

                Sub se pehlay to aap ko iss section mein Pegham ki sari team ki janib se khushamdeed kehti hoon. Aap boht acha likhti/likhtay hein, aaindah bhi aatay/aati rahiye ga.

                Comment


                • #9
                  Re: Ye haqeeqat tha k afsana-e-rusvaii thi...!

                  bauhat khoob likha hai aap nai :)

                  khush rahiyai :)

                  Comment

                  Working...
                  X