ham mazrat khwaa haiN
k
aaj kal apni zaati masroofiyyat ki waje se ham aap sab kaa shukriya adaa karne k liye haazir naheiN ho sakte
lakin yaqeen jaaniye
ham ziyaada dair tak maqrooz nahein rahte:)
aap ki nazr aik nazm.........:rose
ISTIFSAAR:
kahaa us ne keh surKhee kyoN hai itnee teree aaNk~hoN meN
kahaa raatoN ko taRpaatee huyee yaadoN se pooch^o tum
-------------------------
kahaa us ne jamee haiN papRiyaaN see kaisee hoNToN par
kahaa furqat ke tapte Khushk SeHraa,oN se pooch~o tum
-----------------------------
kahaa us ne keh kyoN haiN is qadar uljh~aa,o ZulfoN meN
kahaa keh i'shq kee purpech in raahoN se pooch~o tum
-----------------------
kahaa us ne keh hai shabnam see kaisee teree palkoN par
kahaa hijraaN kee in Ghamnaak barastoN se pooch~o tum
--------------------------
kahaa us ne keh haiN kaisee lakeereN tere gaaloN par
kahaa shab bh~ar baraste mere in ashkoN se pooch~o tum
----------------------------
kahaa us ne yeh kaisee kapkapee t^aaree hai haath~oN par
kahaa Khat likh~te, gh~abraate huwe haath~oN se tum
---------------------------
kahaa us ne keh kyoN hai yeh udaasee teree naz^moN meN
kahaa is zindagee ke be-amaaN lamHoN se pooch~o tum
------------------------
kahaa us ne Sadaf jee! kaisee yeh laGhzish hai qadmoN meN
kahaa pardes meN khoyee huyee raahoN se pooch~o tum

Comment