naheiN
naheiN......maiN qaanoone maseehaa ki paaband, fitri osooloN se paiham kashaa kash meiN masroof, ik taariqa to naheiN,
jis k ik gaal par poori taaqa se dunyaa tamaancha lagaaey
aour wo muskuraa kar jawaaban
tahammul k aaeine ki kirchiyoN ko uthhaey huey
mazroob rukhsaar ki surkhyoN ko chhupaaey huey...
doosri tarf se gaal aage badhaa de
naheiN....
maiN to qarn haa qarn se.....
khwaaboN aour khwaahishoN k wasti pul par, khood aour khoodi ko mitaaey huey...
Khudaa k naheiN..is zamaane k dastoor kaa bojhh kaandhe pe apne uthhaey huey
apne taaruf kaa har ik havaala bhullaey huey
ihtijaaj k har ik muqaffal darwaaze par masloob hoti rahi,
maiN...k naadeeda rishtoN ki zanjeer ki qaid meiN,
maiN...k naakarda jurmoN ki taqseer ki qaid meiN
maiN k aorat k azli, ghar aour panaahoN k khwaaboN ki tabeer ki qaid meiN
har samjhhote par bin padhe , dastkhat kar k deti rahi
zulm O ziyaadti, k har naarwaa majboor muuaahide ko
lab siye, taaeedi mohroN se bayRii banaato rahi..
maslihat k qafas meiN, maiN khood apne haathoN
salaakhoN ki ginti badhaati rahi
maiN eesaarO qurbaani k mantroN meiN hi uljhhi rahi
aasteenoN k saanpoN ko khoone jigar maiN pilaati rahi
samaajoN, rivaajoN k in naakhudaaoN k haathoN se matoob hoti rahi
aour phir jab kabhi, chand gharyoN ki fursat churaa k, kabhi sochne ki jasaarat bhi ki
naakhudaa cheekh uthhe, tilmilaaey rivaayaat k but sabhii
aa K mujh pe gareiN...zahr aalood, teeroN ki nokeeli aniyyaN sansanaati huii...
maiN kalaahoN ki naamoos, shimloN k jaahO hasham,
maiN qabeele ki naak aour aabruu ki .......majboor, maqhoor, tanhaa aameeN
besamat si sadaa, begiyaa si zameeN
har rasm k alaaO meiN zinda hi jalti rahi
muskuraa kar bhi maghzoob hoti rahi...
lakin naheiN bus ab naheiN, aik lamha naheiN
aik pal, aik talak bhi naheiN
ik jahannum, k har saaNs seene ko ban k kataari lage
ye ik aagahi kaa beqaabuu saa laavaa
sabr O bardaasht ki aik taRkhi zameeN jis ko bhhaari lage
is se pahle...is se pahle k jabr O ikraah kaa aik zaalim saa aatish fashaaN
mujh ko bhi raakh kar de...
naheiN..
sarkashi ki ye mayoob jalti rivaayat mujhhi se sahi
bus naheiN
ab bisaateiN ultne ki bebaak, badnaam si ye baghaawat mujhhi se sahi
sochne ki aziyyat mujhi se sahi, bolne ki ye jurat mujhi se sahi
karblaa ki zameeiN meri qismat sahi, meri raatoN ki taqdeer wahshat sahi
meri tanhaai, meri aqoobat sahi...
ab sare daar bhi dil kahe gaa yehii
naheiN......ab naheiN
Comment