Her dagh apney daman mei chupa letey hain
oudas ankhon mei bhi sapney saja detey hain
Dil-e-nadan ab humari sunta hi nahi hai
Werna hum kanto mei bhi arzo jaga detey hain
Labon ki khamoshi per matt jana humarey
Jo chaheyin to patharon ko hansa detey hain
Hain sangdil humein hi sangdil samajhney waley
Hum to khamoshi mei bhi tujhey sada detey hain
Chupkey se yaad aayein jo teri shokian kabhi
Bheegti hain aankhein hont muskura detey hain
Hon sach nayeh sapney, nayi rahein raas aayein
Subah sham tujhe dil se yeh dua detey hain
Ho charcha kisi mehfil mei adhouri mohabbat ka
Log barhchar ker fasanda mera suna detey hain
Chupayeh nahi chuptey dagh tanhayi ke kabhi
Weeran chehrey akser hal-e-dil btaa detey hain
Kiu sunayein her ajnabi ko fasanay-e-dard apna
Log suntey hain aur hansi mei oura detey hain
Terey naseeb ka na tha yeh aizaz waqerna
Chahein jise hum ous pe jaan luta detey hain

Comment