Azeezaan.e.Bazm: Aadaab :rose :rose
Aap ki mehfil meiN aik bar phir apni adna si kaavish paish kar raha hooN, ummeed hai aap apni qeemti araa se sarfaraz farmaaeiNge.
Mukhlis
Khalish
Aap ki mehfil meiN aik bar phir apni adna si kaavish paish kar raha hooN, ummeed hai aap apni qeemti araa se sarfaraz farmaaeiNge.
Mukhlis
Khalish
---
Ghazal
Ghazal
zindagi ke naey hawalooN se
hum ne seekha na kuch misalooN se
hum ne seekha na kuch misalooN se
khaak kyoN chaaNte haiN balooN se !
poochte kya ho khasta haalooN se
poochte kya ho khasta haalooN se
khatm kab hoga zindagi ka safar!
khoon risne laga hai chaalooN se
khoon risne laga hai chaalooN se
cheen kar ley gaya mujhe khud se
kis qadar dil.nasheen chaalooN se
kis qadar dil.nasheen chaalooN se
kaheiN mit.tee hai dil ki tareeki!
maaNge taaNge ke in ujaalooN se
maaNge taaNge ke in ujaalooN se
kab nikal paaya khud se koi kabhi
khud.sari ke bichaaey jaalooN se
khud.sari ke bichaaey jaalooN se
ghaaou gehray diye haiN nazrooN ne
aise chubhtay howay sawalooN se
aise chubhtay howay sawalooN se
jis ko apna kaheiN :Khalish: hum bhi
din voh nikla nahi hai saalooN se
din voh nikla nahi hai saalooN se
Comment