Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Mil jaa'aiy Ab Nijaat Ghamo'n Say

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Mil jaa'aiy Ab Nijaat Ghamo'n Say

    Mil jaa'aiy ab nijaat ghamo'n say Khuda karay
    Hay kown jo hamaaray liye yeh duaa karay
    :rose
    Ham tak na us'ka zikr bhi aa'aiy Khuda karay
    Duniya agar kisi ko kisi say juda karay
    :rose
    Aasaa'n nahi'n kisi kay liye tark-e-aarzoo
    Dil pay ho ikhtiyaar to yeh faisla karay
    :rose
    Aankho'n ki raah say is'ko guzar jaanay dijiye
    Jab seel-e-ashk dil mai'n kabhi raasta karay
    :rose
    Zinda hai'n aaj sirf isi aasray pay ham
    Shaayad musarrato'n say Khuda aashna karay
    :rose
    Aankho'n pay haath rakh kay guzar jaaya kijiye

    :rose
    Attached Files
    Last edited by Yaaram; 6 November 2005, 06:53.
    :roseENIGMA:rose

  • #2
    Re: Mil jaa'aiy Ab Nijaat Ghamo'n Say

    Buhut zabardast Hayaa jee :thmbup:


    Khush rahiyeh buhut :) :rose
    sigpic

    Comment


    • #3
      Re: Mil jaa'aiy Ab Nijaat Ghamo'n Say




      Aik bar phir aap ki aamed aur payari see ghazal share karnay k liye boht shukriya.

      Ap ka andaz e tehreer boht acha hey, Allah aap k qalam mein mazeed khoobsurati peda karay, ameen

      Comment


      • #4
        Re: Mil jaa'aiy Ab Nijaat Ghamo'n Say

        Originally posted by hayaa_n
        Aasaa'n nahi'n kisi kay liye tark-e-aarzoo
        Dil pay ho ikhtiyaar to yeh faisla karay
        Welcome back Hayaa :) Aur aap ka wapis aana bohat khushgwaar hai. Bohat khoobsurat ghazal key saath aai hain, main ney aap sey poochhey bghair aap ko ghazal ka urdu image add kar diya hai. Kyun keh aap ki shairi mein aik aisi chashni hai jo mujhey puraney dino sey yaad hai. Bohat achha likhti hain aur woh bhi aik bohat hi kam-sini mein - very nice Hayaa :)
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • #5
          Re: Mil jaa'aiy Ab Nijaat Ghamo'n Say

          Assalaam o alekum,



          waaah waah bahooot hi khooobsoorat ghazal aur utnaa hi khoobsoorat andaaz e bayaan kyaa kehnien haya aapke jab jab aati hain ek behtreen aur zabrdast ghazal ke saath dili daad qabool karien khush rahien iss sher ke saath

          :tang: RISK IS MY BUSINESS

          DANGER IS MY GAME

          DONT PLAY WITH ME
          BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

          Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

          Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

          Comment


          • #6
            Re: Mil jaa'aiy Ab Nijaat Ghamo'n Say



            Bohot payari tehreer hai :rose :-)
            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

            Comment


            • #7
              Re: Mil jaa'aiy Ab Nijaat Ghamo'n Say

              ASSALAM.O.ALEIKUM
              Barg-e-gul ji,Khurram Shaikh ji,Ta ji,Mushan ji,Saima Shaheen ji:rose aap sab k itnay umda replies k liye dil say shukar guzaar hu'n.ta ji aap nay to is ghazal ko urdu mai'n likh k bouhat khubsurat bana diya hay.bouhat bouhat shukriya.yeh mairi urdu mai'n likhi gaai paihli ghazal hay urdu forums par is liye acha bhi laga.again shukriya qubool kijiye.
              aap sab k replies ka bouhat shukriya.
              Khush rahiye.
              Allah Hafiz
              :roseENIGMA:rose

              Comment


              • #8
                Re: Mil jaa'aiy Ab Nijaat Ghamo'n Say

                :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose
                JESAY YE POOL HAIN WESI TUMHARI GHAZAL
                :rose
                :rose
                :rose
                :rose
                :rose
                :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose

                Comment


                • #9
                  Re: Mil jaa'aiy Ab Nijaat Ghamo'n Say

                  Sahil ji..itnay khoobsurat reply ko read kar k khushi hui.Khush rahiye.:)
                  :roseENIGMA:rose

                  Comment


                  • #10
                    Re: Mil jaa'aiy Ab Nijaat Ghamo'n Say

                    No tengo parablas!
                    :)

                    Comment


                    • #11
                      Re: Mil jaa'aiy Ab Nijaat Ghamo'n Say

                      Originally posted by tallica
                      No tengo parablas!
                      :)
                      Estoy agradesida por su cumplemento.mucha graçias y graçias por todo..eres muy amable.:)
                      :roseENIGMA:rose

                      Comment


                      • #12
                        Re: Mil jaa'aiy Ab Nijaat Ghamo'n Say

                        hayaa jii beautiful words .....:thmbup: :salam:

                        Aankho'n ki raah say is'ko guzar jaanay dijiye
                        Jab seel-e-ashk dil mai'n kabhi raasta karay :thmbup:

                        u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                        :pr:

                        Comment


                        • #13
                          Re: Mil jaa'aiy Ab Nijaat Ghamo'n Say

                          :jazak: :) Hala ji mujhay bouhat khushi hui kay ghazal aap ko pasand aai.bouhat shukriya..:)
                          :roseENIGMA:rose

                          Comment


                          • #14
                            Re: Mil jaa'aiy Ab Nijaat Ghamo'n Say

                            Originally posted by hayaa_n
                            Mil jaa'aiy ab nijaat ghamo'n say Khuda karay
                            Hay kown jo hamaaray liye yeh duaa karay
                            :rose
                            Aasaa'n nahi'n kisi kay liye tark-e-aarzoo
                            Dil pay ho ikhtiyaar to yeh faisla karay
                            :rose
                            bohot he umdah aur lajawab,, pori ghazal kafi umda hai aur bohot pukhtagi hai kalam main. keep it up...
                            That's Enough...!!

                            Comment

                            Working...
                            X