Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Khizaein - Shairana Contest Nov 2006

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Khizaein - Shairana Contest Nov 2006

    Shairana Contest November 2006
    Unwan: KHIZAEIN
    End of Entry: 25. November 2006
    Attached Files
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Khizaein - Shairana Contest Nov 2006

    v niceeee

    Comment


    • #3
      Re: Khizaein - Shairana Contest Nov 2006

      Sure :) mein bhi Khizan per kuch likhnay ka irada karoun gee :)

      Comment


      • #4
        Re: Khizaein - Shairana Contest Nov 2006

        Originally posted by Gul View Post
        Sure :) mein bhi Khizan per kuch likhnay ka irada karoun gee :)
        Zaroor aur yaqinan woh bohat haseen kalaam ho ga :)
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • #5
          Re: Khizaein - Shairana Contest Nov 2006

          jub bhi ku-e-janan sey mera rehguzar hua
          yeh dil mosam-i-khazan key zer-i-asar hua

          iss dil sadaa bahar pey muj ko ghuroor thah
          yeh jo mosam-i-khazan sey ab dar badar hua

          gulshan ki sadaqat pe bhi iss dil ko naaz thah
          phhoolon se lagey zakhm tho kaanton ka dar hua

          boya thah beech phhool ka dil ke makaan mey
          dey dey ke khoon phhool ko kaanta samar hua

          yeh dil mosam-i-khazan ka naqsha bana raha
          jub phhool ka kaanta merey dil ke nazar hua


          rehman mujahid
          Last edited by Mujahid Khan; 15 November 2006, 02:38.

          Comment


          • #6
            Re: Khizaein - Shairana Contest Nov 2006

            well just a try... and to appreciate others to participate.....



            MUjhey yaad hein wo mausam

            phool jaisey her qadam per

            khushyan thien meyri sathi

            apni thi jab her manzil

            kabhi dar na tha haar ka



            sookhey patton per chaltey huye

            dil sey uthi hai bas aik hi sada


            lauta dey mujhey wo saarey mausam!
            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

            Comment


            • #7
              Re: Khizaein - Shairana Contest Nov 2006

              Originally posted by Xenya View Post
              well just a try... and to appreciate others to participate.....



              MUjhey yaad hein wo mausam

              phool jaisey her qadam per

              khushyan thien meyri sathi

              apni thi jab her manzil

              kabhi dar na tha haar ka


              sookhey patton per chaltey huye

              dil sey uthi hai bas aik hi sada



              lauta dey mujhey wo saarey mausam!
              Well done sis - yeh ghalban tumhari pehli nazami kavish hai? Soch ko bohat achhey alfaaz mein biyaan kiya hai - very nice... :phool:
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment


              • #8
                Re: Khizaein - Shairana Contest Nov 2006

                Originally posted by Masood View Post
                Well done sis - yeh ghalban tumhari pehli nazami kavish hai? Soch ko bohat achhey alfaaz mein biyaan kiya hai - very nice... :phool:
                shukrya :d

                ye rahi meyri pehli bachkana kavish :d

                http://pegham.com/showthread.php?t=931
                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                Comment

                Working...
                X