Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Us ne vaa'da vafaa kia aakhir

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Us ne vaa'da vafaa kia aakhir

    aslaam_u_alikam

    kaafii time key ba`ad apni aik gazal key saath haazir. umeed kertii hun aap san apni araa sey nawaazein gey.
    shukriya

    us ne vaa'da vafaa kia aakhir
    mujh se milne voh aa gayaa aakhir

    kis liye tum udaas baithe ho
    kuch bataao k kia huaa aakhir?

    maang baithe tumhen khudaa se ham
    Haal-e-dil lab pe aa gayaa aakhir

    vaqt ki dhoop ne jalaaya jise
    vohi pauda nikhar gayaa aakhir

    raaz-e-dil jo na keh sakey the ham
    vohi aankhon ne keh diya aakhir

    jis ko ab tak sambhaal ker rakha
    rishta wo bhi bikhar gayaa aakhir

    fatima tha jo zindagi meri
    maine us ko bhi kho diya aakhir

  • #2
    Re: Us ne vaa'da vafaa kia aakhir

    Originally posted by Fatimah
    raaz-e-dil jo na keh sakey the ham
    vohi aankhon ne keh diya aakhir

    jis ko ab tak sambhaal ker rakha
    rishta wo bhi bikhar gayaa aakhir

    fatima tha jo zindagi meri
    maine us ko bhi kho diya aakhir

    Aap jab bhi is mehfil mein jalwa-gar hoti hain Fatimah aik khoobsurat aur dilkash andaaz mein hoti hain, baqi kalaam ki tarha aap ki yeh ghazal bhi bohat nafees hai... Yunhi is mehfil ko ronaq bakhshti raha karein :)
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • #3
      Re: Us ne vaa'da vafaa kia aakhir

      vaqt ki dhoop ne jalaaya jise
      vohi pauda nikhar gayaa aakhir

      bohot shukriya Fatimah,

      jis ko ab tak sambhaal ker rakha
      rishta wo bhi bikhar gayaa aakhir


      zaberdast...likhti rahiye aur hamien bhi sunaati rahien
      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment


      • #4
        Re: Us ne vaa'da vafaa kia aakhir

        Bohat khoob aap ki poetry ki kya baat hai very nice :) :)
        Allah

        Comment


        • #5
          Re: Us ne vaa'da vafaa kia aakhir

          Originally posted by Masood
          Aap jab bhi is mehfil mein jalwa-gar hoti hain Fatimah aik khoobsurat aur dilkash andaaz mein hoti hain, baqi kalaam ki tarha aap ki yeh ghazal bhi bohat nafees hai... Yunhi is mehfil ko ronaq bakhshti raha karein :)


          aslaam_u_alikam

          bohat bohat shukriya masood sahib.
          aap ki nazr e karam hey jo aap merey in kaawishon ko itnaa sarhaatey hain.bohat shukriya

          Comment


          • #6
            Re: Us ne vaa'da vafaa kia aakhir

            W salaam ,


            chhoooti kaafi arse ke baad tumhien yehan dekh ker behud khushi huee aati rahaa karo :) haan her baar ki tareh iss baar bhi tumhaari yeh kooshish behud pasand aayi auroon kaa pataa nahin lekin mujhe waaqaee behud pasand aayi tumhaari yeh kooshish dil ko chhu gayi bahoot khoob ek zabardast kooshish per dili daad qabool karoo khush raho sada




            jis ko ab tak sambhaal ker rakha
            rishta wo bhi bikhar gayaa aakhir

            fatima tha jo zindagi meri
            maine us ko bhi kho diya aakhir
            :tang: RISK IS MY BUSINESS

            DANGER IS MY GAME

            DONT PLAY WITH ME
            BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

            Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

            Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

            Comment


            • #7
              Re: Us ne vaa'da vafaa kia aakhir

              fATIMA AAP KI GHAZAL AZHAD PASAND AAI. BOHT SHUKRIYA MUGAR AAP SE HUMEIN AIK SHIKAYET HEY K AAP BOHT KUM KUM AATI HEIN.

              Comment


              • #8
                Re: Us ne vaa'da vafaa kia aakhir

                Originally posted by Fatimah


                vaqt ki dhoop ne jalaaya jise
                vohi pauda nikhar gayaa aakhir



                raaz-e-dil jo na keh sakey the ham
                vohi aankhon ne keh diya aakhir

                uper ke do she'r achhe lage...
                thankx
                Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                Comment


                • #9
                  Re: Us ne vaa'da vafaa kia aakhir

                  Originally posted by barg.e.gul
                  bohot shukriya Fatimah,


                  zaberdast...likhti rahiye aur hamien bhi sunaati rahien

                  aslaam_u_alikam

                  bohat shukriya bar e gul:)

                  Comment


                  • #10
                    Re: Us ne vaa'da vafaa kia aakhir

                    Buhat khoobsurat


                    buhat hi acha likha hai Fatimah aap nay :rose


                    khush rahyeah :)
                    Zindagi Thak Gaye ..!!

                    Comment


                    • #11
                      Re: Us ne vaa'da vafaa kia aakhir

                      Originally posted by YAARAM
                      Bohat khoob aap ki poetry ki kya baat hai very nice :) :)


                      aslaam_u_alikam

                      shukriya yaram

                      Comment


                      • #12
                        Re: Us ne vaa'da vafaa kia aakhir

                        Main nai us ko bhi kho deya akhir :) bohat khoob .. bohat achi likhi share kerney ka shukriya jeetey rahyeh khush rahyeh

                        Comment


                        • #13
                          Re: Us ne vaa'da vafaa kia aakhir

                          Originally posted by khurram_shaikh
                          W salaam ,


                          chhoooti kaafi arse ke baad tumhien yehan dekh ker behud khushi huee aati rahaa karo :) haan her baar ki tareh iss baar bhi tumhaari yeh kooshish behud pasand aayi auroon kaa pataa nahin lekin mujhe waaqaee behud pasand aayi tumhaari yeh kooshish dil ko chhu gayi bahoot khoob ek zabardast kooshish per dili daad qabool karoo khush raho sada




                          jis ko ab tak sambhaal ker rakha
                          rishta wo bhi bikhar gayaa aakhir

                          fatima tha jo zindagi meri
                          maine us ko bhi kho diya aakhir

                          aslaam_u_alikam

                          bohat bohat shukriya big b. koshish karun gii keh aati rahun:)

                          Comment


                          • #14
                            Re: Us ne vaa'da vafaa kia aakhir

                            Originally posted by Muskan
                            fATIMA AAP KI GHAZAL AZHAD PASAND AAI. BOHT SHUKRIYA MUGAR AAP SE HUMEIN AIK SHIKAYET HEY K AAP BOHT KUM KUM AATI HEIN.

                            aslaam_u_alikam

                            bohat shukriya msukaan jii. yeh shikayat her aik ko hey mujhe sey per kiya karun

                            Comment


                            • #15
                              Re: Us ne vaa'da vafaa kia aakhir

                              Originally posted by Fatimah
                              jis ko ab tak sambhaal ker rakha
                              rishta wo bhi bikhar gayaa aakhir

                              Is shair mein aik sachaee bhi hai, talkhi bhi, mithaas bhi aur muhabbat bhi. Yeh usi waqt mehsoos hota hai jab koi aisa insaan bichhrey jo dil mein rehta ho....
                              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                              Comment

                              Working...
                              X