Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Doston ki be rukhi ne rulaya
Collapse
X
-
Re: Doston ki be rukhi ne rulaya
Originally posted by YAARAMwow muskaan zabardast ghamon bhari ghazal kis waqt likh li aap ne ......:)
ji yeh kal ki hi bat hey, yehan PEGHAM per hi chand batein DOSTI k baray mein parhnay ko mileen to dil mein chubhan see peda honay lagi aur yeh ghazal numa nazm khud bakhud hi likhi gai.
Comment
-
Re: Doston ki be rukhi ne rulaya
Muskan aap ney aik aur bohat zabardast haqeeqat ki alfaaz-kashi ki hai. Aik aik shair apni jaggah la-jawab hai. Jo batein ham doosrey sochtey rah jatey hain woh aap palak-jhapaktey biyaan kar jati hain - Allah karey aap key qalam mein mazeed zor pedah ho. Bohat umdah likhti hain aap :rosetumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: Doston ki be rukhi ne rulaya
Kabhi duniya ki daastan sun kar roee
kabhi apney dil ki lagi ne rulaaya
Har dard ko chhupa kar sirf muskurana para
aksar mujhey meri khamoshi ney rulaya
muskan bohaaaaat hi achha likha hai aapney. :) :rose :rose:rose
Comment
-
Re: Doston ki be rukhi ne rulaya
Assalaam o alekum,
uffffffffffff itni baari baat aapnien itnien aaraam se keh di bhai maannaa paregaa aapko kyaa kalaam likhaa hai aapnien her sher lajawaab hai dili daad qabool karien aur yun hi likhti rehien khush rahien:tang: RISK IS MY BUSINESS
DANGER IS MY GAME
DONT PLAY WITH ME
BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:
Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe
Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe
Comment
Comment